hasin KHwabon ka guldasta dikha kar
hasīñ ḳhvāboñ kā guldasta dikhā kar
paḌosan le ke aayā huuñ bhagā kar
vo mere zehn-o-dil ko gudgudā kar
kahāñ ġhā.eb hue jalva dikhā kar
chalā lo kaam anDe se abhī tum
maiñ kal lā.ūñgā murġhī bhī churā kar
haiñ ghar meñ ghusne ke ādāb bhī kuchh
chale aate ho har dam muñh uThā kar
yaqīnan kaan katregā ye merā
chalā huuñ kāñdhe pe jis ko biThā kar
tumhārī bhī karūñgā dā’vateñ phir
maiñ jab bhī lā.ūñgā bakrā churā kar
hasin KHwabon ka guldasta dikha kar
paDosan le ke aaya hun bhaga kar
wo mere zehn-o-dil ko gudguda kar
kahan ghaeb hue jalwa dikha kar
chala lo kaam anDe se abhi tum
main kal launga murghi bhi chura kar
hain ghar mein ghusne ke aadab bhi kuchh
chale aate ho har dam munh uTha kar
yaqinan kan katrega ye mera
chala hun kandhe pe jis ko biTha kar
tumhaari bhi karunga da’waten phir
main jab bhi launga bakra chura kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.