Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq jab se ho gaya ek lakhnawi KHatun se

Zafar Kamali

ishq jab se ho gaya ek lakhnawi KHatun se

Zafar Kamali

MORE BYZafar Kamali

    ishq jab se ho gayā ik lakhnavī ḳhātūn se

    dil bāteñ roz kartā huuñ telephone se

    jo ġhalāzat dil meñ hai vo duur hogī kis tarah

    gandagī to jism dhote ho tum sābūn se

    shervānī aur Topī jaa.eñ chūlhe-bhāḌ meñ

    ab to raġhbat hai mujhe bas coat se patlūn se

    pople muñh se chane khānā nahīñ mumkin huzūr

    aa nahīñ saktī javānī lauT ke mājūn se

    nāqid-e-āzam huuñ muulī par likhūñ mazmūn agar

    baat āġhāz kartā huuñ maiñ aflātūn se

    ek sūrat meñ ghar puurī hoñ farmā.isheñ

    ḳhāndānī silsila miltā ho gar qārūn se

    is zamāne ajab tishna-labī hai ai 'zafar'

    pyaas us sirf bujhtī hai hamāre ḳhuun se

    ishq jab se ho gaya ek lakhnawi KHatun se

    dil ki baaten roz hi karta hun telephone se

    jo ghalazat dil mein hai wo dur hogi kis tarah

    gandagi to jism ki dhote ho tum sabun se

    sherwani aur Topi jaen chulhe-bhaD mein

    ab to raghbat hai mujhe bas coat se patlun se

    pople munh se chane khana nahin mumkin huzur

    aa nahin sakti jawani lauT ke majun se

    naqid-e-azam hun muli par likhun mazmun agar

    baat ka aaghaz karta hun main aflatun se

    ek hi surat mein ghar ki puri hon farmaishen

    KHandani silsila milta ho gar qarun se

    is zamane ki ajab tishna-labi hai ai 'zafar'

    pyas us ki sirf bujhti hai hamare KHun se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now