aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jamal-zada

Raja Mehdi Ali Khan

jamal-zada

Raja Mehdi Ali Khan

MORE BYRaja Mehdi Ali Khan

    mire nanhe chāñd mat ro mire shāhazāde so

    tirī zid kahīñ ai zālim na mujhe rulā de so

    terā baap mere ghar se mujhe varġhalā ke laayā

    huā vasl-dar-jahannam jo mujhe bhagā ke laayā

    thā 'jamāl' naam us ai jamāl-zāde so

    tirī zid kahīñ ai zālim na mujhe rulā de so

    mujhe mohne ko jis ne kiyā roz mujh se dañgā

    nahīñ ab vo aane vaalā gayā bhaag vo lafañgā

    jise maiñ kabhī na bhūlūñ use bhulā de so

    tirī zid kahīñ ai zālim na mujhe rulā de so

    vo kivāḌ band kar ke mujhe roz pīTtā thā

    kabhī misl-e-chārpā.ī vo mujhe ghasīTtā thā

    agar hai merā beTā use bad-duā de so

    tirī zid kahīñ ai zālim na mujhe rulā de so

    mirī chuTiyā us ne kaaTī mirī Taañg us ne toḌī

    mirā kaun hai jahāñ meñ kahāñ jā.ūñ maiñ nigoḌī

    jo maiñ kar chukī huuñ us na mujhe saaz de so

    tirī zid kahīñ ai zālim na mujhe rulā de so

    vo jo āshiqī ke din the vo kabhī ke kaT chuke haiñ

    mire bik chuke haiñ zevar mire kapḌe phaT chuke haiñ

    kahīñ merī āh-e-sozāñ na tujhe jalā de so

    tirī zid kahīñ ai zālim na mujhe rulā de so

    na laboñ pe ab hai surḳhī na vo muñh par ab hai ġhāza

    liye rahī hai qismat mire ishq janāza

    kahīñ hādsa ye pāgal na mujhe banā de so

    tirī zid kahīñ ai zālim na mujhe rulā de so

    mujhe kaun aasrā de maiñ huuñ shahr meñ akelī

    na mirā aziiz koii, na mirī koī sahelī

    mire ġham ko mere dukh ko aasrā de so

    tirī zid kahīñ ai zālim na mujhe rulā de so

    mere nanhe chand mat ro mere shahazade so ja

    teri zid kahin ai zalim na mujhe rula de so ja

    tera bap mere ghar se mujhe warghala ke laya

    hua wasl-dar-jahannam jo mujhe bhaga ke laya

    tha 'jamal' nam us ka ai jamal-zade so ja

    teri zid kahin ai zalim na mujhe rula de so ja

    mujhe mohne ko jis ne kiya roz mujh se danga

    nahin ab wo aane wala gaya bhag wo lafanga

    jise main kabhi na bhulun tu use bhula de so ja

    teri zid kahin ai zalim na mujhe rula de so ja

    wo kiwaD band kar ke mujhe roz piTta tha

    kabhi misl-e-chaarpai wo mujhe ghasiTta tha

    tu agar hai mera beTa use bad-dua de so ja

    teri zid kahin ai zalim na mujhe rula de so ja

    meri chuTiya us ne kaTi meri Tang us ne toDi

    mera kaun hai jahan mein kahan jaun main nigoDi

    jo main kar chuki hun us ki na mujhe saz de so ja

    teri zid kahin ai zalim na mujhe rula de so ja

    wo jo aashiqi ke din the wo kabhi ke kaT chuke hain

    mere bik chuke hain zewar mere kapDe phaT chuke hain

    kahin meri aah-e-sozan na tujhe jala de so ja

    teri zid kahin ai zalim na mujhe rula de so ja

    na labon pe ab hai surKHi na wo munh par ab hai ghaza

    liye ja rahi hai qismat mere ishq ka janaza

    kahin hadsa ye pagal na mujhe bana de so ja

    teri zid kahin ai zalim na mujhe rula de so ja

    mujhe kaun aasra de main hun shahr mein akeli

    na mera aziz koi, na meri koi saheli

    mere gham ko mere dukh ko tu hi aasra de so ja

    teri zid kahin ai zalim na mujhe rula de so ja

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now