Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

layal-pur ke machchhar

Zareef Jabalpuri

layal-pur ke machchhar

Zareef Jabalpuri

MORE BYZareef Jabalpuri

    ye lāyal-pūr ke machchhar jo mil vāloñ ne paale haiñ

    bahādur sūrmā sāvañt tagḌe aur jiyāle haiñ

    munazzam taur se mehmāñ pe shab-ḳhūñ mārne vaale

    ye vo haiñ jo nahīñ kaunain se bhī hārne vaale

    filaT chhiḌke hue kamroñ meñ bhī tan-tan ke aate haiñ

    vo sab mil kar ḳhushī meñ fat.h ke baaje bajāte the

    kabhī vo chārpā.ī par kabhī vo farsh par baiThe

    dimāġh ūñchā havā itnā ki uḌ kar 'arsh' par baiThe

    kisī machchhar ne baḌh kar hazrat-e-'maḳhmūr' ko kaaTā

    ḳhumār utrā to chhāyā ālam-e-hastī meñ sannāTā

    kabhī rāġhib se raġhbat kabhī sāhil pe aa baiThe

    savāb-e-haj ḳhātir maulvī 'māhir' pe baiThe

    kabhī 'āzād' ko chakkhā kabhī 'ehsān' ko chāTā

    sitam ye hai ki mujh se sāhib-e-īmān ko kaaTā

    miyāñ-sayyad-mohamād-jāfarī ġhair hālat thī

    jo muñh kholā ghuse muñh meñ lihāf oḌhā to shāmat thī

    kahā 'aḳhtar' se panDit-jī hamārā bhī bhajan sun lo

    bahut muḳhtasar hai qissa-e-dār-o-rasan sun lo

    bahut tañg aa ga.e jab machchharoñ Dañk-mārī se

    to sab shā.er taḌap uTThe nihāyat be-qarārī se

    kametī kar ke aapas meñ yahī ik baat tai paa.ī

    javābī hamla un par ho ba-sad sabr-o-shakebā.ī

    bahut hushyār hokar an se laḌne jo baaī hai

    kahīñ sab shā.iroñ aur machchharoñ jañg jaarī hai

    kabhī taalī bajāte the kabhī vo sar khujāte the

    vo ghabrāhaT meñ mil kar ek misra ye gaate the

    zarā jaan chañgez-ḳhānī dekhte jaao

    ab uTThā chāhtī hai lāsh-e-'fānī' dekhte jaao

    ye layal-pur ke machchhar jo mil walon ne pale hain

    bahadur surma sawant tagDe aur jiyale hain

    munazzam taur se mehman pe shab-KHun marne wale

    ye wo hain jo nahin kaunain se bhi haarne wale

    filaT chhiDke hue kamron mein bhi tan-tan ke aate hain

    wo sab mil kar KHushi mein fath ke baje bajate the

    kabhi wo chaarpai par kabhi wo farsh par baiThe

    dimagh uncha hawa itna ki uD kar 'arsh' par baiThe

    kisi machchhar ne baDh kar hazrat-e-'maKHmur' ko kaTa

    KHumar utra to chhaya aalam-e-hasti mein sannaTa

    kabhi raghib se raghbat ki kabhi sahil pe aa baiThe

    sawab-e-haj ki KHatir maulwi 'mahir' pe ja baiThe

    kabhi 'azad' ko chakkha kabhi 'ehsan' ko chaTa

    sitam ye hai ki mujh se sahib-e-iman ko kaTa

    miyan-sayyad-mohamad-jafari ki ghair haalat thi

    jo munh khola ghuse munh mein lihaf oDha to shamat thi

    kaha 'aKHtar' se panDit-ji hamara bhi bhajan sun lo

    bahut hi muKHtasar hai qissa-e-dar-o-rasan sun lo

    bahut tang aa gae jab machchharon ki Dank-mari se

    to sab shaer taDap uTThe nihayat be-qarari se

    kameti kar ke aapas mein yahi ek baat tai pai

    jawabi hamla un par ho ba-sad sabr-o-shakebai

    bahut hushyar hokar an se laDne ki jo bai hai

    kahin sab shairon aur machchharon ki jang jari hai

    kabhi tali bajate the kabhi wo sar khujate the

    wo ghabrahaT mein mil kar ek hi misra ye gate the

    zara si jaan ki changez-KHani dekhte jao

    ab uTTha chahti hai lash-e-'fani' dekhte jao

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now