Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maqsad-e-hayat

Haji Laq Laq

maqsad-e-hayat

Haji Laq Laq

MORE BYHaji Laq Laq

    zindagī apnī numā.ish-gāh-e-masnūāt hai

    chaar din bijlī ke lamp aur phir añdherī raat hai

    aa.e haiñ duniyā meñ koī kaam karne ke liye

    kuchh ḳhudā se aur kuchh biivī se Darne ke liye

    hai javānoñ ke liye cinema meñ jaanā zindagī

    jeb meñ paa.ī na ho tie lagānā zindagī

    mah-vashoñ se baaġh meñ āñkheñ laḌānā zindagī

    ġhusl-ḳhāne meñ akele gungunānā zindagī

    ishq-bāzī aur mausīqī nahīñ to kuchh nahīñ

    aur kuchh kuchh mai se dilchaspī nahīñ to kuchh nahīñ

    sher kahnā bhī banā jaatā hai juzv-e-zindagī

    naam chhap jaanā risāle meñ hai hadd-e-shā.irī

    nasr meñ ash.ār kah lenā hai ik san.at na.ī

    aur agar ye bhī nahīñ ḳhālī taḳhallus sahī

    naam ke saath ek do alfāz dum chāhiye

    sher phīkā sahī lekin tarannum chāhiye

    zindagī ek maqsad leaderī karnā bhī hai

    chanda khā kar qaum ulfat dam bharnā bhī hai

    mulk par jaañ denā lafzī taur par marnā bhī hai

    is pe murda-bād ke nāroñ se kuchh Darnā bhī hai

    ban ke leader so rahe to zindagī kis kaam

    amn qaa.em ho gayā to leaderī kis kaam

    maqsad-e-hajjām hai aurat banānā mard se

    maqsad apnā hai Darānā but ko āh-e-sard se

    zindagī ke aur maqsad bhī haiñ insāñ ke liye

    koī aivāñ ke liye hai koī zindāñ ke liye

    koī gulshan ke liye koī bayābāñ ke liye

    aur ye 'laqlaq' hai to afkār-e-pareshāñ ke liye

    raat din is qalam masrūf-e-laqlaqyāt hai

    chaar din chāñdnī hai phir añdherī raat hai

    zindagi apni numaish-gah-e-masnuat hai

    chaar din bijli ke lamp aur phir andheri raat hai

    aae hain duniya mein koi kaam karne ke liye

    kuchh KHuda se aur kuchh biwi se Darne ke liye

    hai jawanon ke liye cinema mein jaana zindagi

    jeb mein pai na ho tie lagana zindagi

    mah-washon se bagh mein aankhen laDana zindagi

    ghusl-KHane mein akele gungunana zindagi

    ishq-bazi aur mausiqi nahin to kuchh nahin

    aur kuchh kuchh mai se dilchaspi nahin to kuchh nahin

    sher kahna bhi bana jata hai juzw-e-zindagi

    nam chhap jaana risale mein hai hadd-e-shairi

    nasr mein ashaar kah lena hai ek sanat nai

    aur agar ye bhi nahin KHali taKHallus hi sahi

    nam ke sath ek do alfaz ki dum chahiye

    sher phika hi sahi lekin tarannum chahiye

    zindagi ka ek maqsad leaderi karna bhi hai

    chanda kha kar qaum ki ulfat ka dam bharna bhi hai

    mulk par jaan dena lafzi taur par marna bhi hai

    is pe murda-baad ke naron se kuchh Darna bhi hai

    ban ke leader so rahe to zindagi kis kaam ki

    amn qaem ho gaya to leaderi kis kaam ki

    maqsad-e-hajjam hai aurat banana mard se

    maqsad apna hai Darana but ko aah-e-sard se

    zindagi ke aur maqsad bhi hain insan ke liye

    koi aiwan ke liye hai koi zindan ke liye

    koi gulshan ke liye koi bayaban ke liye

    aur ye 'laqlaq' hai to afkar-e-pareshan ke liye

    raat din is ka qalam masruf-e-laqlaqyat hai

    chaar din ki chandni hai phir andheri raat hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now