mard-e-musalman jadid
is vaqt hai momin kī na.ī shaan na.ī aan
kirdār meñ guftār meñ shaitān hai shaitān
be-kārī riyā-kārī jahāñ-dāri-o-jabrūt
in chaar 'anāsir kā murakkab hai musalmān
ham-sāya-e-iblīs-e-la’īñ lāl-bujhakkaḌ
jab chāhe badal detā hai ye mā’nī-e-qur.ān
is raaz ko ab bhuul gayā hai ye machhandar
kyā chiiz hai insāñ ke liye quvvat-e-īmān
qudrat ke maqāsid ke ḳhilāf is ke irāde
duniyā meñ pareshān hai 'uqbā meñ pashemān
jis se ki dhaḌak jaa.e zamāna vo kaḌak bam
shaitānoñ ke dil jis se dahal jaa.eñ vo tūfān
har qaul-o-'amal is kā hai qur.ān muḳhālif
auroñ ko sunātā hai ye allāh kā farmān
apnoñ se har ik jang meñ ban jaatā hai ġhāzī
ġhairoñ ko faqat dekh ke ho jaatā hai be-jān
raT.tā hai ki duniyā pe rahī merī hukūmat
sochā na kabhī kaise banā jaatā hai sultān
sab qā’r-e-muzillat meñ gire jaate haiñ dhaḌ dhaḌ
vo shaiḳh hoñ sayyad hoñ ki mirzā hoñ ki afġhān
maz.hab se shujā'at se qayādat se hai nafrat
ye baat agar sach hai to allāh nigahbān
likhtā hai tire kār-e-siyah-tāb ko 'asrār'
le ab tire kirdār kī ye bhī huī pahchān
is waqt hai momin ki nai shan nai aan
kirdar mein guftar mein shaitan hai shaitan
be-kari riya-kari jahan-dari-o-jabrut
in chaar 'anasir ka murakkab hai musalman
ham-saya-e-iblis-e-la’in lal-bujhakkaD
jab chahe badal deta hai ye ma’ni-e-quran
is raaz ko ab bhul gaya hai ye machhandar
kya chiz hai insan ke liye quwwat-e-iman
qudrat ke maqasid ke KHilaf is ke irade
duniya mein pareshan hai 'uqba mein pasheman
jis se ki dhaDak jae zamana wo kaDak bam
shaitanon ke dil jis se dahal jaen wo tufan
har qaul-o-'amal is ka hai quran muKHalif
auron ko sunata hai ye allah ka farman
apnon se har ek jang mein ban jata hai ghazi
ghairon ko faqat dekh ke ho jata hai be-jaan
raTta hai ki duniya pe rahi meri hukumat
socha na kabhi kaise bana jata hai sultan
sab qa’r-e-muzillat mein gire jate hain dhaD dhaD
wo shaiKH hon sayyad hon ki mirza hon ki afghan
mazhab se shuja'at se qayaadat se hai nafrat
ye baat agar sach hai to allah nigahban
likhta hai tere kar-e-siyah-tab ko 'asrar'
le ab tere kirdar ki ye bhi hui pahchan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.