aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

purani motor

Syed Zameer Jafri

purani motor

Syed Zameer Jafri

MORE BYSyed Zameer Jafri

    ajab ik baar murdār pahiyoñ ne uThāyā hai

    use insāñ bad-baḳhtī ne jaane kab banāyā hai

    na model hai, na body hai, na paaya hai, na saaya hai

    parinda hai jise koī shikārī maar laayā hai

    tabī.at mustaqil rahtī hai nā-sāz o aliil us

    aTī rahtī hai nahr us phaTī rahtī hai jhiil us

    tavānā.ī qalīl us to bīnā.ī baḳhīl us

    ki us ko muddatoñ se khā chukī umr-e-tavīl us

    garebāñ-chāk engine yuuñ paḌā hai apne chhappar meñ

    ki jaise koī kaalā murġh ho ghē ke kanastar meñ

    vilāyat se kisī 'sir-george-allan-bē' ke saath aa.ī

    javānī luT ga.ī to sindh meñ ye ḳhush-sifāt aa.ī

    vahāñ jab ain us ke sar pe tārīḳh-e-vafāt aa.ī

    na jaane kaise haath aa.ī magar phir un ke haath aa.ī

    hamāre mulk meñ añgrez ke iqbāl motor

    san-aḌtālīs meñ puure aThattar saal motor

    ye chaltī hai to do-tarfa nadāmat saath chaltī hai

    bhare bāzār puurī malāmat saath chaltī hai

    bahan iltijā maañ mohabbat saath chaltī hai

    vafā-e-dostāñ bahr-e-mashaqqat saath chaltī hai

    bahut kam is ''ḳharābe'' ko ḳharāb engine chillātā hai

    umūman zor-e-dast-e-dostāñ kaam aatā hai

    kabhī bailoñ ke pīchhe jot kar chalvā.ī jaatī hai

    kabhī ḳhālī ḳhudā ke naam par khichvā.ī jaatī hai

    ba-tarz-e-āshiqāna dauḌ kar behosh ho jaanā

    ba-rañg-e-dil-barāna jhāñk kar rū-posh ho jaanā

    qadam rakhne se pahle laġhzish-e-mastāna rakhtī hai

    ki har farlāñg par apnā musāfir-ḳhāna rakhtī hai

    shikasta saaz meñ bhī mahshar-e-naġhmāt rakhtī hai

    tavānā.ī nahīñ rakhtī magar jazbāt rakhtī hai

    purāne modaloñ meñ koī ūñchī zaat rakhtī hai

    abhī pichhlī sadī ke ba.az purza-jāt rakhtī hai

    ġham-e-daurāñ se ab to ye bhī naubat aa ga.ii, aksar

    kisī murġhī se Takrā.ī to ḳhud chakrā ga.ii, aksar

    hazāroñ hādse dekhe zamānī bhī makānī bhī

    bahut se rog paale haiñ ze-rāh-e-qadrdānī bhī

    ḳhajil is saḳht-jānī par hai marg-e-nā-gahānī bhī

    ḳhudāvandā na koī chiiz ho itnī purānī bhī

    kabhī vaqt-e-ḳhirām aayā to tyre salām aayā

    ''tham ai rah rau ki shāyad phir koī mushkil maqām āyā''

    ajab ek bar sa murdar pahiyon ne uThaya hai

    use insan ki bad-baKHti ne jaane kab banaya hai

    na model hai, na body hai, na paya hai, na saya hai

    parinda hai jise koi shikari mar laya hai

    tabiat mustaqil rahti hai na-saz o alil us ki

    aTi rahti hai nahr us ki phaTi rahti hai jhil us ki

    tawanai qalil us ki to binai baKHil us ki

    ki us ko muddaton se kha chuki umr-e-tawil us ki

    gareban-chaak engine yun paDa hai apne chhappar mein

    ki jaise koi kala murgh ho ghee ke kanastar mein

    wilayat se kisi 'sir-george-allan-bee' ke sath aai

    jawani luT gai to sindh mein ye KHush-sifat aai

    wahan jab ain us ke sar pe tariKH-e-wafat aai

    na jaane kaise hath aai magar phir un ke hath aai

    hamare mulk mein angrez ke iqbaal ki motor

    san-aDtalis mein pure aThattar sal ki motor

    ye chalti hai to do-tarfa nadamat sath chalti hai

    bhare bazar ki puri malamat sath chalti hai

    bahan ki iltija man ki mohabbat sath chalti hai

    wafa-e-dostan bahr-e-mashaqqat sath chalti hai

    bahut kam is KHarabe ko KHarab engine chillata hai

    umuman zor-e-dast-e-dostan hi kaam aata hai

    kabhi bailon ke pichhe jot kar chalwai jati hai

    kabhi KHali KHuda ke nam par khichwai jati hai

    ba-tarz-e-ashiqana dauD kar behosh ho jaana

    ba-rang-e-dil-barana jhank kar ru-posh ho jaana

    qadam rakhne se pahle laghzish-e-mastana rakhti hai

    ki har farlang par apna musafir-KHana rakhti hai

    shikasta saz mein bhi mahshar-e-naghmat rakhti hai

    tawanai nahin rakhti magar jazbaat rakhti hai

    purane modalon mein koi unchi zat rakhti hai

    abhi pichhli sadi ke baz purza-jat rakhti hai

    gham-e-dauran se ab to ye bhi naubat aa gai, aksar

    kisi murghi se Takrai to KHud chakra gai, aksar

    hazaron hadse dekhe zamani bhi makani bhi

    bahut se rog pale hain ze-rah-e-qadrdani bhi

    KHajil is saKHt-jaani par hai marg-e-na-gahani bhi

    KHudawanda na koi chiz ho itni purani bhi

    kabhi waqt-e-KHiram aaya to tyre ka salam aaya

    tham ai rah rau ki shayad phir koi mushkil maqam aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now