TeDhi khir
kyā batā.eñ aap ko ham marhala ġhhambīr hai
biivī kahte haiñ jise yaaro vo TeḌhī khiir hai
pahle din hī us ne qabza kar liyā ghar par mire
us kī bātoñ se to lagtā hai vo dādā-gīr hai
ham hoñ chāhe vālida hoñ bhaa.ī ho yā ho bahan
us kī bātoñ meñ sabhī ke vāste tahqīr hai
ūñche ghar kī laa.ī haiñ ammāñ bahū to dekh leñ
zindagī banñā jahannum un kī ab taqdīr hai
thī dūkān ūñchī magar pakvān phīkā thā vahāñ
le ke aa.iiñ vo bahū rishvat kī jo tā'mīr hai
chāñd-mārī kā nishān haiñ ab miyāñ ‘hammād p-hasan'
biivī ke hāthoñ meñ chimTā belan aur kaf-gīr hai
kya bataen aap ko hum marhala ghambir hai
biwi kahte hain jise yaro wo TeDhi khir hai
pahle din hi us ne qabza kar liya ghar par mere
us ki baaton se to lagta hai wo dada-gir hai
hum hon chahe walida hon bhai ho ya ho bahan
us ki baaton mein sabhi ke waste tahqir hai
unche ghar ki lai hain amman bahu to dekh len
zindagi banna jahannum un ki ab taqdir hai
thi dukan unchi magar pakwan phika tha wahan
le ke aain wo bahu rishwat ki jo ta'mir hai
chand-mari ka nishan hain ab miyan ‘hammad p-hasan'
biwi ke hathon mein chimTa belan aur kaf-gir hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.