Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zahr bimar ko murde ko dawa di jae

Dilawar Figar

zahr bimar ko murde ko dawa di jae

Dilawar Figar

MORE BYDilawar Figar

    zahr bīmār ko murde ko davā jaa.e

    hai yahī rasm to ye rasm uThā jaa.e

    vasl raat jo mahbūb kahe good night

    qā.eda ye hai ki english meñ duā jaa.e

    aaj jalse haiñ bahut shahr meñ leader kam haiñ

    ehtiyātan mujhe taqrīr raTā jaa.e

    maar khāne se mujhe aar nahīñ hai lekin

    piT chukūñ maiñ to koī vaj.h batā jaa.e

    merī vahshat ḳhabar ghar ko huī hai jab se

    chhat ye kahtī hai ki dīvār haTā jaa.e

    bas meñ baiThī hai mire paas jo ik zohra-jabīñ

    mard niklegī agar zulf muñDā jaa.e

    zahr bimar ko murde ko dawa di jae

    hai yahi rasm to ye rasm uTha di jae

    wasl ki raat jo mahbub kahe good night

    qaeda ye hai ki english mein dua di jae

    aaj jalse hain bahut shahr mein leader kam hain

    ehtiyatan mujhe taqrir raTa di jae

    mar khane se mujhe aar nahin hai lekin

    piT chukun main to koi wajh bata di jae

    meri wahshat ki KHabar ghar ko hui hai jab se

    chhat ye kahti hai ki diwar haTa di jae

    bas mein baiThi hai mere pas jo ek zohra-jabin

    mard niklegi agar zulf munDa di jae

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    zahr bimar ko murde ko dawa di jae Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now