aag sa tu jo hua ai gul-e-tar aan ke bich
aag sā tū jo huā ai gul-e-tar aan ke biich
sub.h kī baav ne kyā phūñk diyā kaan ke biich
ham na kahte the kahīñ zulf kahīñ ruḳh na dikhā
ik ḳhilāf aaya na hindū-o-musalmān ke biich
bāvajūd-e-malakiyyat na malak meñ paayā
vo taqaddus ki jo hai hazrat-e-insān ke biich
pāsbāñ se tire kyā duur jo ho sāz-e-raqīb
hai na ik tarah kī nisbat sag-o-darbān ke biich
jaisī izzat mirī dīvāñ meñ amīroñ ke huī
vaisī hī un kī bhī hogī mire dīvān ke biich
saath hai us sar-e-uryāñ ke ye vahshat karnā
pagḌī uljhī hai mirī ab to bayābān ke biich
ve phirī palkeñ agar khub ga.iiñ jī meñ to vahīñ
raḳhne paḌ jā.eñge vaa.iz tire īmān ke biich
kyā kahūñ ḳhūbī-e-ḳhat dekh huī band āvāz
surma goyā ki diyā un ne mujhe paan ke biich
ghar meñ ā.īne ke kab tak tumheñ nāzāñ dekhūñ
kabhū to aao mire dīda-e-hairān ke biich
mīrzā.ī kā kab ai 'mīr' chalā ishq meñ kaam
kuchh ta.ab khīñchne ko taab to ho jaan ke biich
aag sa tu jo hua ai gul-e-tar aan ke bich
subh ki baw ne kya phunk diya kan ke bich
hum na kahte the kahin zulf kahin ruKH na dikha
ek KHilaf aaya na hindu-o-musalman ke bich
bawajud-e-malakiyyat na malak mein paya
wo taqaddus ki jo hai hazrat-e-insan ke bich
pasban se tere kya dur jo ho saz-e-raqib
hai na ek tarah ki nisbat sag-o-darban ke bich
jaisi izzat meri diwan mein amiron ke hui
waisi hi un ki bhi hogi mere diwan ke bich
sath hai us sar-e-uryan ke ye wahshat karna
pagDi uljhi hai meri ab to bayaban ke bich
we phiri palken agar khub gain ji mein to wahin
raKHne paD jaenge waiz tere iman ke bich
kya kahun KHubi-e-KHat dekh hui band aawaz
surma goya ki diya un ne mujhe pan ke bich
ghar mein aaine ke kab tak tumhein nazan dekhun
kabhu to aao mere dida-e-hairan ke bich
mirzai ka kab ai 'mir' chala ishq mein kaam
kuchh tab khinchne ko tab to ho jaan ke bich
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0788
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.