aah wo aashiq-sitam tark-e-jafa karta nahin
aah vo āshiq-sitam tark-e-jafā kartā nahīñ
aur mutlaq ab dimāġh apnā vafā kartā nahīñ
baat meñ ġhairoñ ko chup kar duuñ va-lekin kyā karūñ
vo suḳhan-nashno tanik merā kahā kartā nahīñ
roz bad-tar jaise bīmār-e-ajal hai dil kā haal
ye samajh kar ham-nashīñ ab maiñ davā kartā nahīñ
goiyā bāb-e-ijābat hijr meñ teġhā huā
varna kis shab aap ko maiñ badduā kartā nahīñ
be-kasān-e-ishq us ke aah kis ke paas jaa.eñ
gor bin koī silā maiñ lab ko vā kartā nahīñ
chhūTnā mumkin nahīñ apnā qafas kī qaid se
murġh-e-sair-āhang ko koī rihā kartā nahīñ
charḳh kī bhī kaj-adā.ī ham hī par jaatī hai pesh
naaz ko us se to ik dam bhī judā kartā nahīñ
dekh use be-dīd ho āñkhoñ ne kyā dekhā bhalā
dil bhī bad kartā hai mujh se to bhalā kartā nahīñ
kyūñke dekhī jaa.e ye begāna-vaza.ī mujh se shoḳh
tū to īdhar yak nigāh-e-āshnā kartā nahīñ
kyā kahūñ pahuñchā kahāñ tak 'mīr' apnā kār-e-shauq
yaañ se kis din ik nayā qāsid chalā kartā nahīñ
aah wo aashiq-sitam tark-e-jafa karta nahin
aur mutlaq ab dimagh apna wafa karta nahin
baat mein ghairon ko chup kar dun wa-lekin kya karun
wo suKHan-nashno tanik mera kaha karta nahin
roz bad-tar jaise bimar-e-ajal hai dil ka haal
ye samajh kar ham-nashin ab main dawa karta nahin
goiya bab-e-ijabat hijr mein tegha hua
warna kis shab aap ko main baddua karta nahin
be-kasan-e-ishq us ke aah kis ke pas jaen
gor bin koi sila main lab ko wa karta nahin
chhuTna mumkin nahin apna qafas ki qaid se
murgh-e-sair-ahang ko koi riha karta nahin
charKH ki bhi kaj-adai hum hi par jati hai pesh
naz ko us se to ek dam bhi juda karta nahin
dekh use be-did ho aankhon ne kya dekha bhala
dil bhi bad karta hai mujh se to bhala karta nahin
kyunke dekhi jae ye begana-wazai mujh se shoKH
tu to idhar yak nigah-e-ashna karta nahin
kya kahun pahuncha kahan tak 'mir' apna kar-e-shauq
yan se kis din ek naya qasid chala karta nahin
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0347
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.