aaj hamara dil taDpe hai koi udhar se aawega
aaj hamārā dil taḌpe hai koī udhar se āvegā
yā ki navishta un hāthoñ kā qāsid ham tak lāvegā
ham nahīñ likhte is liye us ko shoḳh bahut hai vo laḌkā
ḳhat kā kāġhaz-bādī karegā baav kā ruḳh batlāvegā
ranj bahut khīñche the ham ne tāqat jī kī tamām huī
apne kiye par yaad rahe ye vo bhī bahut pachhtāvegā
andhe se ham chaah meñ us kī go ai nāseh phirte haiñ
sūjhtā bhī kuchh kar ā.eñge kyā tū ham ko sujhāvegā
āshiq hove vo bhī yā-rab tā kuchh us se kahā jaave
ya.anī haal sunegā dil se dil jo kisī se lagāvegā
āshiq kī dil-jūī kī bhī rāh-o-rasm se vāqif rah
ho jo aisā gum-shuda apnā us ko na tū phir pāvegā
āñkheñ mūñde ye dilbar jo sote raheñ to behtar hai
chashmak karnā ek unhoñ kā sau sau fitne jagāvegā
kyā sūrat hai kyā qāmat hai dast-o-pā kyā nāzuk haiñ
aise putle muñh dekho jo koī kulāl banāvegā
chitvan be-Dhab āñkheñ phirīñ haiñ palkoñ se bhī nazar chhoTī
ishq abhī kyā jāniye ham ko kyā kyā 'mīr' dikhāvegā
aaj hamara dil taDpe hai koi udhar se aawega
ya ki nawishta un hathon ka qasid hum tak lawega
hum nahin likhte is liye us ko shoKH bahut hai wo laDka
KHat ka kaghaz-baadi karega baw ka ruKH batlawega
ranj bahut khinche the hum ne taqat ji ki tamam hui
apne kiye par yaad rahe ye wo bhi bahut pachhtawega
andhe se hum chah mein us ki go ai naseh phirte hain
sujhta bhi kuchh kar aaenge kya tu hum ko sujhawega
aashiq howe wo bhi ya-rab ta kuchh us se kaha jawe
yani haal sunega dil se dil jo kisi se lagawega
aashiq ki dil-jui ki bhi rah-o-rasm se waqif rah
ho jo aisa gum-shuda apna us ko na tu phir pawega
aankhen munde ye dilbar jo sote rahen to behtar hai
chashmak karna ek unhon ka sau sau fitne jagawega
kya surat hai kya qamat hai dast-o-pa kya nazuk hain
aise putle munh dekho jo koi kulal banawega
chitwan be-Dhab aankhen phirin hain palkon se bhi nazar chhoTi
ishq abhi kya jaaniye hum ko kya kya 'mir' dikhawega
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1548
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.