aaj hamara sar phirta hai baaten jitni sab mauquf
aaj hamārā sar phirtā hai bāteñ jitnī sab mauqūf
harf-o-suḳhan jo bā-yak-dīgar rahte the so ab mauqūf
kis ko dimāġh ab us se rahā yaañ aaTh pahar kī minnat kā
rabt iḳhlās se din guzre hai ḳhalta us se sab mauqūf
us kī galī meñ āmad-o-shud kī ghaat hī meñ ham rahte the
ab jo shikasta-pā ho baiThe Dhab karne ke Dhab mauqūf
vo jo maane ho to kyā hai shauq kamāl ko pahuñchā hai
vaqfa hogā tab milne meñ ham bhī kareñge jab mauqūf
halqe paḌe haiñ chashm-e-tar meñ sūkhe aise tum na rahe
ronā kuḌhnā ishq meñ us ke 'mīr' karoge kab mauqūf
aaj hamara sar phirta hai baaten jitni sab mauquf
harf-o-suKHan jo ba-yak-digar rahte the so ab mauquf
kis ko dimagh ab us se raha yan aaTh pahar ki minnat ka
rabt iKHlas se din guzre hai KHalta us se sab mauquf
us ki gali mein aamad-o-shud ki ghat hi mein hum rahte the
ab jo shikasta-pa ho baiThe Dhab karne ke Dhab mauquf
wo jo mane ho to kya hai shauq kamal ko pahuncha hai
waqfa hoga tab milne mein hum bhi karenge jab mauquf
halqe paDe hain chashm-e-tar mein sukhe aise tum na rahe
rona kuDhna ishq mein us ke 'mir' karoge kab mauquf
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1414
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.