aaj-kal se kuchh na tufan-za hai chashm-e-girya-nak
āj-kal se kuchh na tūfāñ-zā hai chashm-e-girya-nāk
maujzan barsoñ se hai dariyā hai chashm-e-girya-nāk
yuuñ na ro.o to na ro.o varna rūd-o-chāh se
har qadam is dasht meñ paidā hai chashm-e-girya-nāk
dil se aage Tuk qadam rakkho to phir bhī dilbaro
sair-qābil dīdanī ik jā hai chashm-e-girya-nāk
be-gudāz-e-dil nahīñ imkān ronā is qadar
tah ko pahuñcho ḳhuub to parda hai chashm-e-girya-nāk
sūjhtā apnā kare kuchh abr to hai maslahat
josh-e-ġham se jaise nā-bīnā hai chashm-e-girya-nāk
sabz hai rone se mere gosha gosha dasht kā
bā’is-e-ābādī-e-sahrā hai chashm-e-girya-nāk
ve hinā.ī pā mirī āñkhoñ hī meñ phirte haiñ 'mīr'
yā'nī har-dam us ke zer-e-pā hai chashm-e-girya-nāk
aaj-kal se kuchh na tufan-za hai chashm-e-girya-nak
maujzan barson se hai dariya hai chashm-e-girya-nak
yun na roo to na roo warna rud-o-chah se
har qadam is dasht mein paida hai chashm-e-girya-nak
dil se aage Tuk qadam rakkho to phir bhi dilbaro
sair-qabil didani ek ja hai chashm-e-girya-nak
be-gudaz-e-dil nahin imkan rona is qadar
tah ko pahuncho KHub to parda hai chashm-e-girya-nak
sujhta apna kare kuchh abr to hai maslahat
josh-e-gham se jaise na-bina hai chashm-e-girya-nak
sabz hai rone se mere gosha gosha dasht ka
ba’is-e-abaadi-e-sahra hai chashm-e-girya-nak
we hinai pa meri aankhon hi mein phirte hain 'mir'
ya'ni har-dam us ke zer-e-pa hai chashm-e-girya-nak
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0843
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.