aalam-e-ilm mein ek the hum we haif hai un ko giyan nahin

aalam-e-ilm mein ek the hum we haif hai un ko giyan nahin
Meer Taqi Meer
MORE BYMeer Taqi Meer
'ālam-e-'ilm meñ ek the ham ve haif hai un ko giyān nahīñ
ab kahte haiñ ḳhalta kaisā jaan nahīñ pahchān nahīñ
kis ummīd pe sākin hove koī ġharīb-e-shahr us kā
lutf nahīñ ikrām nahīñ in'ām nahīñ ehsān nahīñ
haa.e latāfat jism kī us ke mar hī gayā huuñ pūchho mat
jab se tan-e-nāzuk vo dekhā tab se mujh meñ jaan nahīñ
kyā bātoñ se tasallī ho dil mushkil-e-'ishqī merī sab
yaar se kahne kahte haiñ par kahnā kuchh āsān nahīñ
shām-o-sahar ham sar-zada dāman sar-ba-garebāñ rahte haiñ
ham ko ḳhayāl udhar hī kā hai un ko idhar kā dhyān nahīñ
jaan ke maiñ to aap banā huuñ in laḌkoñ meñ dīvāna
'aql se bhī bahra hai mujh ko itnā maiñ nādān nahīñ
paañv ko dāman-e-mahshar meñ nā-chārī se ham khīñcheñge
laa.iq apnī vahshat ke us 'arse kā maidān nahīñ
chāhat meñ us māya-e-jāñ kī marne ke shā.ista hue
jā bhī chukī hai dil kī havas ab jiine kā armān nahīñ
shor nahīñ yaañ suntā koī 'mīr' qafas ke asīroñ kā
gosh nahīñ dīvār-e-chaman ke gul ke shāyad kaan nahīñ
'alam-e-'ilm mein ek the hum we haif hai un ko giyan nahin
ab kahte hain KHalta kaisa jaan nahin pahchan nahin
kis ummid pe sakin howe koi gharib-e-shahr us ka
lutf nahin ikram nahin in'am nahin ehsan nahin
hae latafat jism ki us ke mar hi gaya hun puchho mat
jab se tan-e-nazuk wo dekha tab se mujh mein jaan nahin
kya baaton se tasalli ho dil mushkil-e-'ishqi meri sab
yar se kahne kahte hain par kahna kuchh aasan nahin
sham-o-sahar hum sar-zada daman sar-ba-gareban rahte hain
hum ko KHayal udhar hi ka hai un ko idhar ka dhyan nahin
jaan ke main to aap bana hun in laDkon mein diwana
'aql se bhi bahra hai mujh ko itna main nadan nahin
panw ko daman-e-mahshar mein na-chaari se hum khinchenge
laiq apni wahshat ke us 'arse ka maidan nahin
chahat mein us maya-e-jaan ki marne ke shaista hue
ja bhi chuki hai dil ki hawas ab jine ka arman nahin
shor nahin yan sunta koi 'mir' qafas ke asiron ka
gosh nahin diwar-e-chaman ke gul ke shayad kan nahin
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1462
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.