aankhon ki taraf gosh ki dar-parda nazar hai
āñkhoñ kī taraf gosh kī dar-parda nazar hai
kuchh yaar ke aane kī magar garm ḳhabar hai
ye rāh-o-ravish sarv-e-gulistāñ meñ na hogī
is qāmat-e-dilchasp kā andāz digar hai
ye bādiya-e-ishq hai albatta idhar se
bach kar nikal ai sail ki yaañ sher kā Dar hai
vo nāvak-e-dil-doz hai laagū mire jī kā
tū sāmne ho hamdam agar tujh ko jigar hai
kyā phail paḌī muddat-e-hijrāñ ko na pūchho
mah saal huā ham ko ghaḌī ek pahar hai
kyā jaan ki jis ke liye muñh moḌiye tum se
tum aao chale dā’iya kuchh tum ko agar hai
tujh sā to savār ek bhī mahbūb na niklā
jis dilbar-e-ḳhud-kām ko dekhā so nafar hai
shab shor-o-fuġhāñ karte ga.ī mujh ko tū ab to
dam-kash ho Tuk ai murġh-e-chaman vaqt-e-sahar hai
soche the ki saudā-e-mohabbat meñ hai kuchh suud
ab dekhte haiñ us meñ to jī hī kā zarar hai
shāne pe rakhā haar jo phūloñ kā to lachkī
kyā saath nazākat ke rag-e-gul sī kamar hai
kar kaam kisū dil meñ ga.ī arsh pe to kyā
ai āh-e-sahar-gāh agar tujh meñ asar hai
paiġhām bhī kyā kariye ki aubāsh hai zālim
har harf miyāñ daar pe shamshīr-o-sipar hai
har bait meñ kyā 'mīr' tirī bāteñ guthī haiñ
kuchh aur suḳhan kar ki ġhazal silk-e-guhar hai
aankhon ki taraf gosh ki dar-parda nazar hai
kuchh yar ke aane ki magar garm KHabar hai
ye rah-o-rawish sarw-e-gulistan mein na hogi
is qamat-e-dilchasp ka andaz digar hai
ye baadiya-e-ishq hai albatta idhar se
bach kar nikal ai sail ki yan sher ka Dar hai
wo nawak-e-dil-doz hai lagu mere ji ka
tu samne ho hamdam agar tujh ko jigar hai
kya phail paDi muddat-e-hijran ko na puchho
mah sal hua hum ko ghaDi ek pahar hai
kya jaan ki jis ke liye munh moDiye tum se
tum aao chale da’iya kuchh tum ko agar hai
tujh sa to sawar ek bhi mahbub na nikla
jis dilbar-e-KHud-kaam ko dekha so nafar hai
shab shor-o-fughan karte gai mujh ko tu ab to
dam-kash ho Tuk ai murgh-e-chaman waqt-e-sahar hai
soche the ki sauda-e-mohabbat mein hai kuchh sud
ab dekhte hain us mein to ji hi ka zarar hai
shane pe rakha haar jo phulon ka to lachki
kya sath nazakat ke rag-e-gul si kamar hai
kar kaam kisu dil mein gai arsh pe to kya
ai aah-e-sahar-gah agar tujh mein asar hai
paigham bhi kya kariye ki aubash hai zalim
har harf miyan dar pe shamshir-o-sipar hai
har bait mein kya 'mir' teri baaten guthi hain
kuchh aur suKHan kar ki ghazal silk-e-guhar hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1726
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.