aashiq tere lakhon hue mujh sa na phir paida hua
āshiq tire lākhoñ hue mujh sā na phir paidā huā
tujh par koī ai kām-e-jāñ dekhā na yuuñ martā huā
muddat huī ulfat ga.ī barsoñ hue tāqat ga.ī
dil muztarib aisā na thā kyā jāniye ab kyā huā
kal sub.h sair-e-bāġh meñ dil aur merā ruk gayā
bulbul na bolā muñh se kuchh gul Tuk na mujh se vā huā
ve din ga.e jo yaañ kabhū uThtā thā dil se josh sā
ab lag ga.e rone jahāñ pal mārte dariyā huā
kitnoñ ke dil be-jāñ hue kitne na jaanā kyā hue
chalne meñ us ke do qadam hangāma ik barpā huā
mastī meñ laġhzish ho ga.ī ma.azūr rakkhā chāhiye
ai ahl-e-masjid is taraf aaya huuñ maiñ bahkā huā
juuñ husn hai ik fitna-gar tuuñ ishq bhī hai parda-dar
vo shohra-e-ālam huā maiñ ḳhalq meñ rusvā huā
farhād-o-majnūñ vuuñ ga.e ham aur vāmiq yuuñ chale
is ārize se chaah ke vo kaun sā achchhā huā
yā harf-e-ḳhat hai darmiyāñ yā gesuoñ kā hai bayāñ
kyā 'mīr' sāhab ke ta.iiñ phir in dinoñ saudā huā
aashiq tere lakhon hue mujh sa na phir paida hua
tujh par koi ai kaam-e-jaan dekha na yun marta hua
muddat hui ulfat gai barson hue taqat gai
dil muztarib aisa na tha kya jaaniye ab kya hua
kal subh sair-e-bagh mein dil aur mera ruk gaya
bulbul na bola munh se kuchh gul Tuk na mujh se wa hua
we din gae jo yan kabhu uThta tha dil se josh sa
ab lag gae rone jahan pal marte dariya hua
kitnon ke dil be-jaan hue kitne na jaana kya hue
chalne mein us ke do qadam hangama ek barpa hua
masti mein laghzish ho gai mazur rakkha chahiye
ai ahl-e-masjid is taraf aaya hun main bahka hua
jun husn hai ek fitna-gar tun ishq bhi hai parda-dar
wo shohra-e-alam hua main KHalq mein ruswa hua
farhad-o-majnun wun gae hum aur wamiq yun chale
is aarize se chah ke wo kaun sa achchha hua
ya harf-e-KHat hai darmiyan ya gesuon ka hai bayan
kya 'mir' sahab ke tain phir in dinon sauda hua
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0714
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.