aate hi aate tere ye nakaam ho chuka
aate hī aate tere ye nākām ho chukā
vaañ kaam hī rahā tujhe yaañ kaam ho chukā
yā ḳhat chale hī aate the yā harf hī nahīñ
shāyad ki sādgī kā vo hangām ho chukā
mausam gayā vo tark-e-mohabbat kā nāsehā
maiñ ab to ḳhās-o-ām meñ badnām ho chukā
nā-āshnā-e-harf thā vo shoḳh jab tabhī
ham se to tark-e-nāma-o-paiġhām ho chukā
taḌpe hai jab ki siine meñ uchhle hai do do haath
gar dil yahī hai 'mīr' to ārām ho chukā
aate hi aate tere ye nakaam ho chuka
wan kaam hi raha tujhe yan kaam ho chuka
ya KHat chale hi aate the ya harf hi nahin
shayad ki sadgi ka wo hangam ho chuka
mausam gaya wo tark-e-mohabbat ka naseha
main ab to KHas-o-am mein badnam ho chuka
na-ashna-e-harf tha wo shoKH jab tabhi
hum se to tark-e-nama-o-paigham ho chuka
taDpe hai jab ki sine mein uchhle hai do do hath
gar dil yahi hai 'mir' to aaram ho chuka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0742
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.