aati hai KHun ki bu dosti-e-yar ke bich
aatī hai ḳhuun kī bū dostī-e-yār ke biich
jī liye un ne hazāroñ ke yūñhī pyaar ke biich
haif vo kushta ki sau ranj se aave tujh tak
aur rah jaa.e tirī ek hī talvār ke biich
garche chhuptī nahīñ hai chaah pa rah munkir-pāk
jī hī denā paḌe hai ishq ke iqrār ke biich
naala shab aave qafas se to gul ab us pe na jā
yahī hunkār sī hai murġh-e-giraftār ke biich
uns kartā to hai vo mujh ko ḳhirad-bāḳhta jaan
jiit maiñ apnī nikālī hai isī haar ke biich
chaal kyā kabk kī ik baat chalī aatī hai
lutf nikle haiñ hazāroñ tirī raftār ke biich
tū jo jaatā hai chaman meñ to tamāshe ke liye
mausam-e-rafta bhī phir aave hai gulzār ke biich
dāġh-e-chechak na is ifrāt se the mukhḌe par
kin ne gaaḌī haiñ nigāheñ tire ruḳhsār ke biich
ghaTTe shamshīr-zanī se kaf-e-nāzuk meñ haiñ
ye jigar-dārī thī kis ḳhuuñ ke sazā-vār ke biich
tauba sad baar ki mastī meñ piro Daale haiñ
daane tasbīh ke maiñ rishta-e-zunnār ke biich
halqa-e-gesū-e-ḳhūbāñ pe na kar chashm siyāh
'mīr' amrit nahīñ hotā dahan-e-mār ke biich
aati hai KHun ki bu dosti-e-yar ke bich
ji liye un ne hazaron ke yunhi pyar ke bich
haif wo kushta ki sau ranj se aawe tujh tak
aur rah jae teri ek hi talwar ke bich
garche chhupti nahin hai chah pa rah munkir-pak
ji hi dena paDe hai ishq ke iqrar ke bich
nala shab aawe qafas se to gul ab us pe na ja
yahi hunkar si hai murgh-e-giraftar ke bich
uns karta to hai wo mujh ko KHirad-baKHta jaan
jit main apni nikali hai isi haar ke bich
chaal kya kabk ki ek baat chali aati hai
lutf nikle hain hazaron teri raftar ke bich
tu jo jata hai chaman mein to tamashe ke liye
mausam-e-rafta bhi phir aawe hai gulzar ke bich
dagh-e-chechak na is ifraat se the mukhDe par
kin ne gaDi hain nigahen tere ruKHsar ke bich
ghaTTe shamshir-zani se kaf-e-nazuk mein hain
ye jigar-dari thi kis KHun ke saza-war ke bich
tauba sad bar ki masti mein piro Dale hain
dane tasbih ke main rishta-e-zunnar ke bich
halqa-e-gesu-e-KHuban pe na kar chashm siyah
'mir' amrit nahin hota dahan-e-mar ke bich
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0792
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.