aaya hai abr jab ka qible se tera tira
aaya hai abr jab kā qible se tiira tiira
mastī ke zauq meñ haiñ āñkheñ bahut hī ḳhīra
ḳhajlat se un laboñ ke paanī ho beh chale haiñ
qand-o-nabāt kā bhī niklā hai ḳhuub shīra
majnūñ ne hausle se dīvāngī nahīñ kī
jāgah se apnī jaanā apnā nahīñ vatīra
us rāhzan se mil kar dil kyūñke kho na baiTheñ
andāz-o-nāz uchakke ġhamza uThā.ī-gīrā
kyā kam hai haul-nākī sahrā-e-āshiqī kī
sheroñ ko us jagah par hotā hai qash.arīrā
ā.īne ko bhī dekho par Tuk idhar bhī dekho
hairān chashm-e-āshiq damke hai jaise hiirā
niyyat pe sab banā hai yaañ masjid ik baḌī thī
pīr-e-muġhāñ muā so us kā banā hazīra
hamrāh ḳhuuñ talak ho Tuk paañv ke chhue se
aisā gunāh mujh se vo kyā huā kabīra
ġhairat se 'mīr' sāhib sab jazb ho ga.e the
niklā na buuñd lohū siina jo un kā chīrā
aaya hai abr jab ka qible se tera tera
masti ke zauq mein hain aankhen bahut hi KHira
KHajlat se un labon ke pani ho beh chale hain
qand-o-nabaat ka bhi nikla hai KHub shira
majnun ne hausle se diwangi nahin ki
jagah se apni jaana apna nahin watira
us rahzan se mil kar dil kyunke kho na baiThen
andaz-o-naz uchakke ghamza uThai-gira
kya kam hai haul-naki sahra-e-ashiqi ki
sheron ko us jagah par hota hai qasharira
aaine ko bhi dekho par Tuk idhar bhi dekho
hairan chashm-e-ashiq damke hai jaise hira
niyyat pe sab bana hai yan masjid ek baDi thi
pir-e-mughan mua so us ka bana hazira
hamrah KHun talak ho Tuk panw ke chhue se
aisa gunah mujh se wo kya hua kabira
ghairat se 'mir' sahib sab jazb ho gae the
nikla na bund lohu sina jo un ka chira
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0711
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.