aazar dekhe kya kya in palkon se aTak kar
āzār dekhe kyā kyā in palkoñ se aTak kar
jī le ga.e ye kāñTe dil meñ khaTak khaTak kar
sarv-o-tadarv donoñ phir aap meñ na aa.e
gulzār meñ chalā thā vo shoḳh Tuk laTak kar
kab aañkh khol dekhā tere ta.iiñ sirhāne
nā-chār mar ga.e ham sar ko paTak paTak kar
hāsil ba-juz kudūrat is ḳhāk-dāñ se kyā hai
ḳhush vo ki uTh ga.e haiñ dāmāñ jhaTak jhaTak kar
ye musht-e-ḳhāk yā'nī insān hī hai rū-kash
varna uThā.ī kin ne is āsmāñ kī Takkar
dil kaam chāhtā hai ab us ke gesuoñ se
vaañ mar ga.e haiñ kitne barsoñ aTak aTak kar
Tuk muñh se us ke dī-shab burqa’ sarak gayā thā
jaatī rahī nazar se mahtāb sī chhiTak kar
dhaulā chuke the mil kar kal lauñDe mai-kade ke
pur-sargirāñ ho vā'iz jaatā rahā saTak kar
kal raqs-e-shaiḳh mutlaq dil ko lagā na mere
aaya vo hīz-e-shar’ī kitnā maTak maTak kar
manzil kī 'mīr' us kī kab raah tujh se nikle
yaañ ḳhizr se hazāroñ mar mar ga.e bhaTak kar
aazar dekhe kya kya in palkon se aTak kar
ji le gae ye kanTe dil mein khaTak khaTak kar
sarw-o-tadarw donon phir aap mein na aae
gulzar mein chala tha wo shoKH Tuk laTak kar
kab aankh khol dekha tere tain sirhane
na-chaar mar gae hum sar ko paTak paTak kar
hasil ba-juz kudurat is KHak-dan se kya hai
KHush wo ki uTh gae hain daman jhaTak jhaTak kar
ye musht-e-KHak ya'ni insan hi hai ru-kash
warna uThai kin ne is aasman ki Takkar
dil kaam chahta hai ab us ke gesuon se
wan mar gae hain kitne barson aTak aTak kar
Tuk munh se us ke di-shab burqa’ sarak gaya tha
jati rahi nazar se mahtab si chhiTak kar
dhaula chuke the mil kar kal launDe mai-kade ke
pur-sargiran ho wa'iz jata raha saTak kar
kal raqs-e-shaiKH mutlaq dil ko laga na mere
aaya wo hiz-e-shar’i kitna maTak maTak kar
manzil ki 'mir' us ki kab rah tujh se nikle
yan KHizr se hazaron mar mar gae bhaTak kar
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0227
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.