aazar-kash ko uske aazar hai hamesha
āzār-kash ko us ke āzār hai hamesha
āzurda-dil kisū kā bīmār hai hamesha
muḳhtār-e-ishq us kā majbūr hī hai ya.anī
yak rah do-chār ho kar nā-chār hai hamesha
kab sahl āshiqī meñ auqāt guzre hai yaañ
kaam apnā is par us bin dushvār hai hamesha
aalam kā ain usī ko ma.alūm kar chuke haiñ
is vajah se ab us kā dīdār hai hamesha
us se husūl-e-matlab apnā huā na hogā
bā-āñki kaam dil kā iz.hār hai hamesha
parvā-e-naf-o-nuqsāñ mutlaq nahīñ hai us ko
us kī to lā-ubālī sarkār hai hamesha
milnā na milnā Thahre to dil bhī Thahre apnā
iqrār hai hamesha inkār hai hamesha
āmāda-e-fanā kuchh kyā 'mīr' ab huā hai
jī muft dene ko vo tayyār hai hamesha
aazar-kash ko us ke aazar hai hamesha
aazurda-dil kisu ka bimar hai hamesha
muKHtar-e-ishq us ka majbur hi hai yani
yak rah do-chaar ho kar na-chaar hai hamesha
kab sahl aashiqi mein auqat guzre hai yan
kaam apna is par us bin dushwar hai hamesha
aalam ka ain usi ko malum kar chuke hain
is wajah se ab us ka didar hai hamesha
us se husul-e-matlab apna hua na hoga
ba-anki kaam dil ka izhaar hai hamesha
parwa-e-naf-o-nuqsan mutlaq nahin hai us ko
us ki to la-ubaali sarkar hai hamesha
milna na milna Thahre to dil bhi Thahre apna
iqrar hai hamesha inkar hai hamesha
aamada-e-fana kuchh kya 'mir' ab hua hai
ji muft dene ko wo tayyar hai hamesha
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1872
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.