ab asiri se bachen to dekhenge gulshan kabhu
ab asīrī se bacheñ to dekheñge gulshan kabhū
thā hamārā bhī chaman meñ ai sabā maskan kabhū
ham bhī ek ummīd par is said-gah meñ haiñ paḌe
kahte haiñ aatā hai īdhar vo shikār-afgan kabhū
band paayā jeb meñ yā sar se maarā tang ho
dast-e-kotah meñ na aaya apne vo dāman kabhū
yaar kī bargashta mizhgāñ se na dil ko jam' rakh
bad-balā hai phir khaḌī hove jo ye palTan kabhū
jaan koī kyoñ na do us be-muravvat ke liye
āshnā hotā nahīñ vo dostī-dushman kabhū
huuñ to nālāñ zer-e-dīvār-e-chaman par zo'f se
gosh-zad gul ke nahīñ hotā mirā shevan kabhū
dil magar un jāma-zeboñ ko diyā hai 'mīr' ne
is tarah phirte na the ve chāk-pairāhan kabhū
ab asiri se bachen to dekhenge gulshan kabhu
tha hamara bhi chaman mein ai saba maskan kabhu
hum bhi ek ummid par is said-gah mein hain paDe
kahte hain aata hai idhar wo shikar-afgan kabhu
band paya jeb mein ya sar se mara tang ho
dast-e-kotah mein na aaya apne wo daman kabhu
yar ki bargashta mizhgan se na dil ko jam' rakh
bad-bala hai phir khaDi howe jo ye palTan kabhu
jaan koi kyon na do us be-murawwat ke liye
aashna hota nahin wo dosti-dushman kabhu
hun to nalan zer-e-diwar-e-chaman par zo'f se
gosh-zad gul ke nahin hota mera shewan kabhu
dil magar un jama-zebon ko diya hai 'mir' ne
is tarah phirte na the we chaak-pairahan kabhu
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0913
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.