ab tak to nibhi achchhi ab dekhiye piri hai
ab tak to nibhī achchhī ab dekhiye piirī hai
sab logoñ meñ haiñ lāgeñ yaañ mahz faqīrī hai
kyā dhiir bañdhe us kī jo ishq kā rusvā ho
nikle to kaheñ laḌke dhīrī hai be dhīrī hai
ḳhuuñ ishq kī garmī se sūkhā jigar-o-dil meñ
ik buuñd thī lohū kī ab chhātī jo chīrī hai
ham tā.ir-e-nau-par haiñ ve jin ko bahārāñ meñ
gul-gasht-e-gulistāñ kā hai shauq o asīrī hai
us dilbar-e-bad-zan se ḳhush guzre hai āshiq kī
ne rahm hai ḳhātir meñ ne uzr-pazīrī hai
ham marsiya dil hī kā aksar kahā karte haiñ
ab kariye taḳhallus to shā.ista-zamīrī hai
kyā ahl-e-duval se hai ai 'mīr' mujhe nisbat
yaañ ijz-o-faqīrī hai vaañ nāz-e-amīrī hai
ab tak to nibhi achchhi ab dekhiye piri hai
sab logon mein hain lagen yan mahz faqiri hai
kya dhir bandhe us ki jo ishq ka ruswa ho
nikle to kahen laDke dhiri hai be dhiri hai
KHun ishq ki garmi se sukha jigar-o-dil mein
ek bund thi lohu ki ab chhati jo chiri hai
hum tair-e-nau-par hain we jin ko bahaaran mein
gul-gasht-e-gulistan ka hai shauq o asiri hai
us dilbar-e-bad-zan se KHush guzre hai aashiq ki
ne rahm hai KHatir mein ne uzr-paziri hai
hum marsiya dil hi ka aksar kaha karte hain
ab kariye taKHallus to shaista-zamiri hai
kya ahl-e-duwal se hai ai 'mir' mujhe nisbat
yan ijz-o-faqiri hai wan naz-e-amiri hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1259
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.