ab tang hun bahut main mat aur dushmani kar
ab tang huuñ bahut maiñ mat aur dushmanī kar
laagū ho mere jī kā utnī hī dostī kar
jab tak shigāf the kuchh itnā na jī ruke thā
pachhtā.e ham nihāyat siine ke chaak sī kar
qissa nahīñ sunā kyā yūsuf hī kā jo tū ne
ab bhā.iyoñ se chande to gurg-āshtī kar
nāsāzī-o-ḳhushūnat jangal hī chāhtī hai
shahroñ meñ ham na dekhā bālīda hote kīkar
kuchh aaj ashk-e-ḳhūnīñ maiñ ne nahīñ chhupā.e
rah rah gayā huuñ barsoñ lohū ko apne pī kar
kis murdanī ko us bin bhātī hai zindagānī
bas jī chukā bahut maiñ ab kyā karūñgā jī kar
harf-e-ġhalat ko sun kar darpe na ḳhuuñ ke honā
jo kuchh kiyā hai maiñ ne pahle use sahī kar
din-rāt kuḌhte-kuḌhte maiñ bhī bahut rukā huuñ
jo tujh se ho sake so ab tū bhī mat kamī kar
rahtī hai so nikoī rahtā nahīñ hai koī
tū bhī jo yaañ rahe to zinhār mat badī kar
thī jab talak javānī ranj-o-ta.ab uThā.e
ab kyā hai 'mīr' jī meñ tark-e-sitamgarī kar
ab tang hun bahut main mat aur dushmani kar
lagu ho mere ji ka utni hi dosti kar
jab tak shigaf the kuchh itna na ji ruke tha
pachhtae hum nihayat sine ke chaak si kar
qissa nahin suna kya yusuf hi ka jo tu ne
ab bhaiyon se chande to gurg-ashti kar
nasazi-o-KHushunat jangal hi chahti hai
shahron mein hum na dekha baalida hote kikar
kuchh aaj ashk-e-KHunin main ne nahin chhupae
rah rah gaya hun barson lohu ko apne pi kar
kis murdani ko us bin bhati hai zindagani
bas ji chuka bahut main ab kya karunga ji kar
harf-e-ghalat ko sun kar darpe na KHun ke hona
jo kuchh kiya hai main ne pahle use sahi kar
din-raat kuDhte-kuDhte main bhi bahut ruka hun
jo tujh se ho sake so ab tu bhi mat kami kar
rahti hai so nikoi rahta nahin hai koi
tu bhi jo yan rahe to zinhaar mat badi kar
thi jab talak jawani ranj-o-tab uThae
ab kya hai 'mir' ji mein tark-e-sitamgari kar
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0817
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.