ahd-e-junun hai mausam gul ka aur shagufa laya hai
ahd-e-junūñ hai mausam gul kā aur shagūfa laayā hai
abr-e-bahārī vaadī se uTh kar ābādī par aayā hai
sun kar mere shor-e-shab ko jhuñjhlā kar vo kahne lagā
naale is ke falak tak pahuñche kin ne is ko satāyā hai
dakhkhin uttar pūrab pachchhim hangāma hai sab jāgah
ūdham mere harf-o-suḳhan ne chāroñ or machāyā hai
be-chashm-o-rū ho baiThe ho vaj.h nahīñ hai zāhir kuchh
kaam kī sūrat bigḌī hamārī muñh kyoñ tum ne banāyā hai
zulm-o-sitam sab sahl haiñ us ke ham se uThte haiñ ki nahīñ
log jo pursish-e-hāl kareñ haiñ jī to unhoñ ne khāyā hai
ho ke faqīr to vaañ baiThe haiñ rahte haiñ ashrāf jahāñ
ham ne tavakkul bahut kiyā hai nām-e-ḳhudā sarmāya hai
barsoñ ham darvesh rahe haiñ parde meñ duniyā-dārī ke
nāmūs us kī kyūñke rahe ye parda jin ne uThāyā hai
DhūñD nikālā thā jo use so aap ko bhī ham kho baiThe
jaisā nihāl lagāyā ham ne vaisā hī phal paayā hai
'mīr'-e-ġharīb se kyā ho mu’āriz goshe meñ is vaadī ke
ek diyā sā bujhtā un ne dāġh-e-jigar pe jalāyā hai
ahd-e-junun hai mausam gul ka aur shagufa laya hai
abr-e-bahaari wadi se uTh kar aabaadi par aaya hai
sun kar mere shor-e-shab ko jhunjhla kar wo kahne laga
nale is ke falak tak pahunche kin ne is ko sataya hai
dakhkhin uttar purab pachchhim hangama hai sab jagah
udham mere harf-o-suKHan ne chaaron or machaya hai
be-chashm-o-ru ho baiThe ho wajh nahin hai zahir kuchh
kaam ki surat bigDi hamari munh kyon tum ne banaya hai
zulm-o-sitam sab sahl hain us ke hum se uThte hain ki nahin
log jo pursish-e-haal karen hain ji to unhon ne khaya hai
ho ke faqir to wan baiThe hain rahte hain ashraf jahan
hum ne tawakkul bahut kiya hai nam-e-KHuda sarmaya hai
barson hum darwesh rahe hain parde mein duniya-dari ke
namus us ki kyunke rahe ye parda jin ne uThaya hai
DhunD nikala tha jo use so aap ko bhi hum kho baiThe
jaisa nihaal lagaya hum ne waisa hi phal paya hai
'mir'-e-gharib se kya ho mu’ariz goshe mein is wadi ke
ek diya sa bujhta un ne dagh-e-jigar pe jalaya hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1746
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.