ai kash koi ja kar kah aawe yar se bhi
ai kaash koī jā kar kah aave yaar se bhī
yaañ kaam jā chukā hai ab iḳhtiyār se bhī
tā-chand be-dimāġhī kab tak suḳhan ḳhashin ho
koī to baat kariye iḳhlās pyaar se bhī
yak-ma.anī-e-shagufta sau rang bañdh ga.e haiñ
alvān-e-gul haiñ har-sū ab ke bahār se bhī
kyā jeb-o-āstīñ hī sailāb-ḳhez hai yaañ
dariyā bahā kareñ haiñ mere kanār se bhī
bāġh-e-vafā se ham ne paayā so phal ye paayā
siine meñ chāk-tar hai dil ab anaar se bhī
raah us kī barsoñ dekhī āñkheñ ġhubār lā.īñ
niklā na kaam apnā is intizār se bhī
jān-o-jahāñ se guzrā maiñ 'mīr' jin kī ḳhātir
bach kar nikalte haiñ ve mere mazār se bhī
ai kash koi ja kar kah aawe yar se bhi
yan kaam ja chuka hai ab iKHtiyar se bhi
ta-chand be-dimaghi kab tak suKHan KHashin ho
koi to baat kariye iKHlas pyar se bhi
yak-mani-e-shagufta sau rang bandh gae hain
alwan-e-gul hain har-su ab ke bahaar se bhi
kya jeb-o-astin hi sailab-KHez hai yan
dariya baha karen hain mere kanar se bhi
bagh-e-wafa se hum ne paya so phal ye paya
sine mein chaak-tar hai dil ab anar se bhi
rah us ki barson dekhi aankhen ghubar lain
nikla na kaam apna is intizar se bhi
jaan-o-jahan se guzra main 'mir' jin ki KHatir
bach kar nikalte hain we mere mazar se bhi
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1489
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.