ai kash mere sar par ek bar wo aa jata
ai kaash mire sar par ik baar vo aa jaatā
Thahrāv sā ho jaatā yuuñ jī na chalā jaatā
tab tak hī tahammul hai jab tak nahīñ aatā vo
is raste nikaltā to ham se na rahā jaatā
ik aag lagā dī hai chhātī meñ judā.ī ne
vo mah gale lagtā to yuuñ dil na jalā jaatā
yā laag kī ve bāteñ yā aisī hai be-zārī
vo jo na lagā letā to maiñ na lagā jaatā
kyā nuur kā buq'a hai chehra ki shab-e-mah meñ
muñh khole jo so rahtā to maah chhupā jaatā
is shauq ne dil ke bhī kyā baat baḌhā.ī thī
ruq.a use likhte to tūmār likhā jaatā
ye hamdamī kā da.avā us ke lab-e-ḳhandāñ se
bas kuchh na chalā varna piste ko chabā jaatā
ab to na rahā vo bhī tāqat ga.ī sab dil kī
jo haal kabhū apnā maiñ tum ko sunā jaatā
vasvās na kartā thā mar jaane se hijrāñ meñ
thā 'mīr' to aisā bhī dil jī se uThā jaatā
ai kash mere sar par ek bar wo aa jata
Thahraw sa ho jata yun ji na chala jata
tab tak hi tahammul hai jab tak nahin aata wo
is raste nikalta to hum se na raha jata
ek aag laga di hai chhati mein judai ne
wo mah gale lagta to yun dil na jala jata
ya lag ki we baaten ya aisi hai be-zari
wo jo na laga leta to main na laga jata
kya nur ka buq'a hai chehra ki shab-e-mah mein
munh khole jo so rahta to mah chhupa jata
is shauq ne dil ke bhi kya baat baDhai thi
ruqa use likhte to tumar likha jata
ye hamdami ka dawa us ke lab-e-KHandan se
bas kuchh na chala warna piste ko chaba jata
ab to na raha wo bhi taqat gai sab dil ki
jo haal kabhu apna main tum ko suna jata
waswas na karta tha mar jaane se hijran mein
tha 'mir' to aisa bhi dil ji se uTha jata
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1318
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.