ai nukile ye thi kahan ki ada
ai nukīle ye thī kahāñ kī adā
khub ga.ī jī meñ terī bāñkī adā
jaadū karte haiñ ik nigāh ke biich
haa.e re chashm-e-dil-barāñ kī adā
baat kahne meñ gāliyāñ de hai
sunte ho mere bad-zabāñ kī adā
dil chale jaa.e haiñ ḳhirām ke saath
dekhī chalne meñ un butāñ kī adā
ḳhaak meñ mil ke 'mīr' ham samjhe
be-adā.ī thī āsmāñ kī adā
ai nukile ye thi kahan ki ada
khub gai ji mein teri banki ada
jadu karte hain ek nigah ke bich
hae re chashm-e-dil-baran ki ada
baat kahne mein galiyan de hai
sunte ho mere bad-zaban ki ada
dil chale jae hain KHiram ke sath
dekhi chalne mein un butan ki ada
KHak mein mil ke 'mir' hum samjhe
be-adai thi aasman ki ada
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0761
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.