ai pareshan-rabt dekhen kab talak ye daur hai
ai pareshāñ-rabt dekheñ kab talak ye daur hai
har galī kūche meñ terā ik du'ā-go aur hai
baal bal khaa.e hue pechoñ se pagḌī ke guthe
tarz-e-kīñ chitvan kī paa.ī sar meñ shor-e-jaur hai
ham se ye andāz-e-aubāshāna karnā kyā zarūr
aañkh TeḌhī ḳham hai abrū taur kuchh be-taur hai
tab' darham vaz' barham zaḳhm ġhā.ir chashm-e-tar
hāl-e-bad meñ bekasoñ ke kuchh tumheñ bhī ġhaur hai
kyā shikāyat kariye us ḳhurshīd-chehra yaar kī
mehr vo barsoñ nahīñ kartā sitam fil-faur hai
vasl kī daulat ga.ī huuñ tang faqr-e-hijr meñ
yā-ilāhī fazl kar ye haur-bā’d-al-kaur hai
us ke dīvāne ke sar par dāġh-e-saudā hai jo 'mīr'
vo muḳhabbat 'āshiqoñ kā is sabab sirmaur hai
ai pareshan-rabt dekhen kab talak ye daur hai
har gali kuche mein tera ek du'a-go aur hai
baal bal khae hue pechon se pagDi ke guthe
tarz-e-kin chitwan ki pai sar mein shor-e-jaur hai
hum se ye andaz-e-aubashana karna kya zarur
aankh TeDhi KHam hai abru taur kuchh be-taur hai
tab' darham waz' barham zaKHm ghair chashm-e-tar
haal-e-bad mein bekason ke kuchh tumhein bhi ghaur hai
kya shikayat kariye us KHurshid-chehra yar ki
mehr wo barson nahin karta sitam fil-faur hai
wasl ki daulat gai hun tang faqr-e-hijr mein
ya-ilahi fazl kar ye haur-ba’d-al-kaur hai
us ke diwane ke sar par dagh-e-sauda hai jo 'mir'
wo muKHabbat 'ashiqon ka is sabab sirmaur hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1777
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.