apna sar-e-shorida to waqf-e-KHam-e-chaugan hai
apnā sar-e-shorīda to vaqf-e-ḳham-e-chaugān hai
aa bul-havas gar zauq hai ye go hai ye maidān hai
'ālam mirī taqlīd se ḳhvāhish tirī karne lagā
maiñ to pashemāñ ho chukā logoñ ko ab armān hai
har-chand besh-az-besh hai dā'vā to rone kā tujhe
par dīda-e-namnāk bhī ai abr-e-tar tūfān hai
is be-damī meñ bhī kabhū dil bhar uThe hai dam tirā
aa Tuk shitābī bevafā ab tak to mujh meñ jaan hai
har lahza ḳhanjar darmiyāñ har dam zabāñ zer-e-zabāñ
vo taur vo uslūb hai ye ahd ye paimān hai
is ārzū-e-vasl ne mushkil kiyā jiinā mirā
varna guzarnā jaan se itnā nahīñ āsān hai
bas be-vaqārī ho chukī galiyoñ meñ ḳhvārī ho chukī
ab paas kar Tuk 'mīr' kā do-chār din mehmān hai
apna sar-e-shorida to waqf-e-KHam-e-chaugan hai
aa bul-hawas gar zauq hai ye go hai ye maidan hai
'alam meri taqlid se KHwahish teri karne laga
main to pasheman ho chuka logon ko ab arman hai
har-chand besh-az-besh hai da'wa to rone ka tujhe
par dida-e-namnak bhi ai abr-e-tar tufan hai
is be-dami mein bhi kabhu dil bhar uThe hai dam tera
aa Tuk shitabi bewafa ab tak to mujh mein jaan hai
har lahza KHanjar darmiyan har dam zaban zer-e-zaban
wo taur wo uslub hai ye ahd ye paiman hai
is aarzu-e-wasl ne mushkil kiya jina mera
warna guzarna jaan se itna nahin aasan hai
bas be-waqari ho chuki galiyon mein KHwari ho chuki
ab pas kar Tuk 'mir' ka do-chaar din mehman hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0606
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.