apne mue bhi ranj-o-bala hai ham-sayon ki jaanon par
apne muue bhī ranj-o-balā hai ham-sāyoñ kī jānoñ par
kyā kyā sīna-zanī rahtī hai dard-o-ġham ke fasānoñ par
maiñ to kyā kyā harf-o-suḳhan the mere jahāñ se jaate rahe
bāteñ dard-āgīñ haiñ ab tak kaisī kaisī zabānoñ par
tū bhī rabāt-e-kuhan se suufī sair ko chal Tuk sabze kī
abr-e-siyah qible se aa kar jhuum paḌā mai-ḳhānoñ par
āmad-o-raft-e-nasīm se zāhir ranjish-e-bulbul hai lekin
baav bhī ab tak bahī nahīñ gulhā-e-chaman ke kānoñ par
jīġha jīġha us kī sī abrū dilkash niklī na koī yaañ
zor kiye logoñ ne agarche naqsh-o-nigār kamānoñ par
jaan to yaañ hai garm-e-raftan lait-o-la.al vaañ vaisī hai
kyā kyā mujh ko junūñ aatā hai us laḌke ke bahānoñ par
baad mire sub.he ko mere hāthoñ haath malak leñge
sau sau baar liyā hai maiñ ne naam us kā in dānoñ par
dil kī haqīqat arsh kī azmat sab kuchh hai ma.alūm hameñ
sair rahī hai aksar apnī in pākīza makānoñ par
raah chalo tum apnī apnī mere tarīq se kyā tum ko
āñkhoñ se parda maiñ ne kiyā hai vaañ paañv ke nishānoñ par
ishq ajā.ib-zor-āvar hai kushtī sab kī paak huī
zikr-e-'mīr' hai kyā piirī meñ harf-o-suḳhan hai javānoñ par
apne mue bhi ranj-o-bala hai ham-sayon ki jaanon par
kya kya sina-zani rahti hai dard-o-gham ke fasanon par
main to kya kya harf-o-suKHan the mere jahan se jate rahe
baaten dard-agin hain ab tak kaisi kaisi zabanon par
tu bhi rabaat-e-kuhan se sufi sair ko chal Tuk sabze ki
abr-e-siyah qible se aa kar jhum paDa mai-KHanon par
aamad-o-raft-e-nasim se zahir ranjish-e-bulbul hai lekin
baw bhi ab tak bahi nahin gulha-e-chaman ke kanon par
jigha jigha us ki si abru dilkash nikli na koi yan
zor kiye logon ne agarche naqsh-o-nigar kamanon par
jaan to yan hai garm-e-raftan lait-o-lal wan waisi hai
kya kya mujh ko junun aata hai us laDke ke bahanon par
baad mere subhe ko mere hathon hath malak lenge
sau sau bar liya hai main ne nam us ka in danon par
dil ki haqiqat arsh ki azmat sab kuchh hai malum hamein
sair rahi hai aksar apni in pakiza makanon par
rah chalo tum apni apni mere tariq se kya tum ko
aankhon se parda main ne kiya hai wan panw ke nishanon par
ishq ajaib-zor-awar hai kushti sab ki pak hui
zikr-e-'mir' hai kya piri mein harf-o-suKHan hai jawanon par
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1607
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.