arz-o-sama mein ishq hai sari chaaron or bhara hai ishq

arz-o-sama mein ishq hai sari chaaron or bhara hai ishq
Meer Taqi Meer
MORE BYMeer Taqi Meer
arz-o-samā meñ ishq hai saarī chāroñ or bharā hai ishq
ham haiñ janāb-e-ishq ke bande nazdīk apne ḳhudā hai ishq
zāhir-o-bātin avval-o-āḳhir pā.īñ baalā ishq hai sab
nūr-o-zulmat mā'nī-o-sūrat sab kuchh aaphī huā hai ishq
ek taraf jibrīl aatā hai ek taraf laatā hai kitāb
ek taraf pinhāñ hai diloñ meñ ek taraf paidā hai ishq
ḳhāk-o-bād-o-āb-o-ātish sab hai muāfiq apne ta.iiñ
jo kuchh hai so ishq-e-butāñ hai kyā kahiye ab kyā hai ishq
'mīr' kahīñ hangāma-ārā maiñ to nahīñ huuñ chāhat kā
sabr na mujh se kiyā jaave to muaaf rakho ki nayā hai ishq
arz-o-sama mein ishq hai sari chaaron or bhara hai ishq
hum hain janab-e-ishq ke bande nazdik apne KHuda hai ishq
zahir-o-baatin awwal-o-aKHir pain baala ishq hai sab
nur-o-zulmat ma'ni-o-surat sab kuchh aaphi hua hai ishq
ek taraf jibril aata hai ek taraf lata hai kitab
ek taraf pinhan hai dilon mein ek taraf paida hai ishq
KHak-o-baad-o-ab-o-atish sab hai muafiq apne tain
jo kuchh hai so ishq-e-butan hai kya kahiye ab kya hai ishq
'mir' kahin hangama-ara main to nahin hun chahat ka
sabr na mujh se kiya jawe to muaf rakho ki naya hai ishq
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1659
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.