asar hota hamari gar dua mein
asar hotā hamārī gar duā meñ
lag uThtī aag sab javv-e-samā meñ
na aTkā haa.e Tuk yūsuf kā mālik
vagarna misr sab miltā bahā meñ
qusūr apne hī tūl-e-umr kā thā
na kī taqsīr un ne to jafā meñ
suḳhan-mushtāq haiñ bande ke sab log
sar-o-dil kis ko hai ishq-e-ḳhudā meñ
kafan kyā ishq meñ maiñ ne hī pahnā
khiñche lohū meñ bahuteroñ ke jāmeñ
payām us gul ko is ke haath dete
subuk-pā.ī na hotī gar sabā meñ
jiyo ḳhush yā koī nā-ḳhush hameñ kyā
ham apne mahv haiñ zauq-e-anā meñ
hameñ farhād-o-majnūñ jis se chāho
tum aa kar pūchh lo shahr-e-vafā meñ
sarāpā hī adā-o-nāz hai yaar
qayāmat aatī hai us kī adā meñ
balā zulf-e-siyāh us kī hai pur-pech
vatan dil ne kiyā hai kis balā meñ
za.īf-o-zār tangī se haiñ har-chand
va-lekin 'mīr' uḌte haiñ havā meñ
asar hota hamari gar dua mein
lag uThti aag sab jaww-e-sama mein
na aTka hae Tuk yusuf ka malik
wagarna misr sab milta baha mein
qusur apne hi tul-e-umr ka tha
na ki taqsir un ne to jafa mein
suKHan-mushtaq hain bande ke sab log
sar-o-dil kis ko hai ishq-e-KHuda mein
kafan kya ishq mein main ne hi pahna
khinche lohu mein bahuteron ke jamen
payam us gul ko is ke hath dete
subuk-pai na hoti gar saba mein
jiyo KHush ya koi na-KHush hamein kya
hum apne mahw hain zauq-e-ana mein
hamein farhad-o-majnun jis se chaho
tum aa kar puchh lo shahr-e-wafa mein
sarapa hi ada-o-naz hai yar
qayamat aati hai us ki ada mein
bala zulf-e-siyah us ki hai pur-pech
watan dil ne kiya hai kis bala mein
zaif-o-zar tangi se hain har-chand
wa-lekin 'mir' uDte hain hawa mein
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1208
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.