baat kaho kya chupke chupke baiTh raho ho yan aakar
baat kaho kyā chupke chupke baiTh raho ho yaañ aakar
aise gūñge baiTho ho tum to baiThiye apne ghar jā kar
dil kā raaz kiyā maiñ zāhir bulbul se gulzār meñ lek
us be-tah ne sehn-e-chaman meñ jaan dī chillā chillā kar
jaisā pech-o-tāb par apne bālīda thā vaisā hī
mār-e-siyah ko rashk se maarā un bāloñ ne bal khā kar
DhūñDte tā atfāl phireñ na un ke junūñ kī ziyāfat meñ
bhar rakkhī haiñ shahr kī galiyāñ patthar ham ne lā lā kar
haahā hī-hī ne shoḳh kī mere tang kiyā ḳhush-rūyāñ ko
surḳh-o-zard hue ḳhajlat se chhūTe haahā haahā kar
chaah kā jo iz.hār kiyā to fart-e-sharm se jaan ga.ī
'ishq-e-shohrat-dost ne āḳhir maarā mujh ko rusvā kar
'mīr' ye kyā rotā hai jis se āñkhoñ par rūmāl rakhā
dāman ke har paaT ko apne girya-e-zār se dariyā kar
baat kaho kya chupke chupke baiTh raho ho yan aakar
aise gunge baiTho ho tum to baiThiye apne ghar ja kar
dil ka raaz kiya main zahir bulbul se gulzar mein lek
us be-tah ne sehn-e-chaman mein jaan di chilla chilla kar
jaisa pech-o-tab par apne baalida tha waisa hi
mar-e-siyah ko rashk se mara un baalon ne bal kha kar
DhunDte ta atfal phiren na un ke junun ki ziyafat mein
bhar rakkhi hain shahr ki galiyan patthar hum ne la la kar
haha hi-hi ne shoKH ki mere tang kiya KHush-ruyan ko
surKH-o-zard hue KHajlat se chhuTe haha haha kar
chah ka jo izhaar kiya to fart-e-sharm se jaan gai
'ishq-e-shohrat-dost ne aaKHir mara mujh ko ruswa kar
'mir' ye kya rota hai jis se aankhon par rumal rakha
daman ke har paT ko apne girya-e-zar se dariya kar
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1611
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.