baat kya aadmi ki ban aai
baat kyā aadmī kī ban aa.ī
āsmāñ se zamīn napvā.ī
charḳh-zan is ke vāste hai mudām
ho gayā din tamām raat aa.ī
māh-o-ḳhurshīd-o-abr-o-bād sabhī
is kī ḳhātir hue haiñ saudā.ī
kaise kaise kiye taraddud jab
rang rang is ko chiiz pahuñchā.ī
is ko tarjīh sab ke uupar dī
lutf-e-haq ne kī ‘izzat-afzā.ī
hairat aatī hai is kī bāteñ dekh
ḳhud-sarī ḳhud-sitā.ī ḳhud-rā.ī
shukr ke sajdoñ meñ ye vājib thā
ye bhī kartā sadā jabīñ-sā.ī
so to is kī tabī'at-e-sarkash
sar na laa.ī faro ki Tuk laa.ī
'mīr'-e-nāchīz musht-e-ḳhāk allāh
in ne ye kibriyā kahāñ paa.ī
baat kya aadmi ki ban aai
aasman se zamin napwai
charKH-zan is ke waste hai mudam
ho gaya din tamam raat aai
mah-o-KHurshid-o-abr-o-baad sabhi
is ki KHatir hue hain saudai
kaise kaise kiye taraddud jab
rang rang is ko chiz pahunchai
is ko tarjih sab ke upar di
lutf-e-haq ne ki ‘izzat-afzai
hairat aati hai is ki baaten dekh
KHud-sari KHud-sitai KHud-rai
shukr ke sajdon mein ye wajib tha
ye bhi karta sada jabin-sai
so to is ki tabi'at-e-sarkash
sar na lai faro ki Tuk lai
'mir'-e-nachiz musht-e-KHak allah
in ne ye kibriya kahan pai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1310
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.