bahr-e-firdaus ho aadam ko alam kahe ko
bahr-e-firdaus ho aadam ko alam kaahe ko
vaqf-e-aulād hai vo baaġh to ġham kaahe ko
kahte haiñ āvegā īdhar vo qayāmat-raftār
chalte-phirte raheñge tab ta.iiñ ham kaahe ko
ye bhī ik Dhab hai na iizā na kisū ko rāhat
rahm mauqūf kiyā hai to sitam kaahe ko
nargis un āñkhoñ ko jo likh ga.e nā-bīnā the
apne nazdīk haiñ ve dast-qalam kaahe ko
us kī talvār se gar jaan ko rakhte na aziiz
marte is ḳhvārī se to said-e-haram kaahe ko
chashm-poshī kā mirī jaan tumheñ lapkā hai
khāte ho dīda-darā.ī se qasam kaahe ko
merī āñkhoñ pe rakho paañv jo aao lekin
rakhte ho aisī jagah tum to qadam kaahe ko
dil ko kahte haiñ ki us ganj-e-ravāñ kā ghar hai
is ḳharābe meñ kare hai vo karam kaahe ko
shor ne nām-e-ḳhudā un ke balā sar khīñchā
'mīr' sā hai koī aalam meñ alam kaahe ko
bahr-e-firdaus ho aadam ko alam kahe ko
waqf-e-aulad hai wo bagh to gham kahe ko
kahte hain aawega idhar wo qayamat-raftar
chalte-phirte rahenge tab tain hum kahe ko
ye bhi ek Dhab hai na iza na kisu ko rahat
rahm mauquf kiya hai to sitam kahe ko
nargis un aankhon ko jo likh gae na-bina the
apne nazdik hain we dast-qalam kahe ko
us ki talwar se gar jaan ko rakhte na aziz
marte is KHwari se to said-e-haram kahe ko
chashm-poshi ka meri jaan tumhein lapka hai
khate ho dida-darai se qasam kahe ko
meri aankhon pe rakho panw jo aao lekin
rakhte ho aisi jagah tum to qadam kahe ko
dil ko kahte hain ki us ganj-e-rawan ka ghar hai
is KHarabe mein kare hai wo karam kahe ko
shor ne nam-e-KHuda un ke bala sar khincha
'mir' sa hai koi aalam mein alam kahe ko
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1228
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.