bahuton ko aage tha yahi aazar ishq ka
bahutoñ ko aage thā yahī āzār ishq kā
jiitā rahā hai koī bhī bīmār ishq kā
be-pardagī bhī chaah kā hotā hai lāzima
khultā hī hai nidān ye asrār ishq kā
zindānī saiñkaḌoñ mire aage rihā hue
chhūTā na maiñ hī thā jo gunahgār ishq kā
ḳhvāhān-e-marg maiñ hī huā huuñ magar nayā
jī beche hī phire hai ḳharīdār ishq kā
mansūr ne jo sar ko kaTāyā to kyā huā
har sar kahīñ huā hai sazā-vār ishq kā
jaatā vahī sunā hama-hasrat jahān se
hotā hai jis kisū se bahut pyaar ishq kā
phir baad mere aaj talak sar nahīñ bikā
ik umr se kasād hai bāzār ishq kā
lag jaave dil kahīñ to use jī meñ apne rakh
rakhtā nahīñ shugūn kuchh iz.hār ishq kā
chhūTā jo mar ke qaid-e-ibārāt meñ phañsā
al-qissa kyā rihā ho giraftār ishq kā
qaaf
mushkil hai umr kāTnī talvār ke tale
sar meñ ḳhayāl go ki rakheñ yaar ishq kā
vaañ rustamoñ ke da.ave ko dekhā hai hote qat.a
puurā jahāñ lagā hai koī vaar ishq kā
kho.e rahā na jaan ko nā-āzmūda-kār
hotā na 'mīr' kaash talabgār ishq kā
bahuton ko aage tha yahi aazar ishq ka
jita raha hai koi bhi bimar ishq ka
be-pardagi bhi chah ka hota hai lazima
khulta hi hai nidan ye asrar ishq ka
zindani sainkaDon mere aage riha hue
chhuTa na main hi tha jo gunahgar ishq ka
KHwahan-e-marg main hi hua hun magar naya
ji beche hi phire hai KHaridar ishq ka
mansur ne jo sar ko kaTaya to kya hua
har sar kahin hua hai saza-war ishq ka
jata wahi suna hama-hasrat jahan se
hota hai jis kisu se bahut pyar ishq ka
phir baad mere aaj talak sar nahin bika
ek umr se kasad hai bazar ishq ka
lag jawe dil kahin to use ji mein apne rakh
rakhta nahin shugun kuchh izhaar ishq ka
chhuTa jo mar ke qaid-e-ibaraat mein phansa
al-qissa kya riha ho giraftar ishq ka
qaf
mushkil hai umr kaTni talwar ke tale
sar mein KHayal go ki rakhen yar ishq ka
wan rustamon ke dawe ko dekha hai hote qata
pura jahan laga hai koi war ishq ka
khoe raha na jaan ko na-azmuda-kar
hota na 'mir' kash talabgar ishq ka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0673
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.