baKHt-e-siyah ki naql karen kis se chaal hum
baḳht-e-siyah kī naql kareñ kis se chaal ham
mehñdī lagī qadam se hue pā.emāl ham
kyūñkar na is chaman meñ hoñ itne niDhāl ham
yaañ phuul sūñgh sūñgh rahe māh-o-sāl ham
yā har galī meñ saiñkaḌoñ jis jā malīh the
yā zulf-o-ḳhat ko dekhte haiñ ḳhāl-ḳhāl ham
guzre hai jī meñ gah vo dahan gaah vo kamar
kyā jāneñ log rakhte haiñ kyā kyā ḳhayāl ham
jātīñ nahīñ uThā.ī ye ab sargirāniyāñ
maqdūr tak to apne ga.e Taal Taal ham
lohū kahāñ hai girya-e-ḳhūnīñ se tan ke biich
karte haiñ muñh ko apne tamāñchoñ se laal ham
vo tū hī hai ki marte haiñ sab tere taur par
hūr-o-parī ko jaan ke kab haiñ davāl ham
guzre hai bas-ki us kī judā.ī diloñ pe shaaq
muñh noch noch le haiñ 'alal-ittisāl ham
manzūr sajda hai hameñ us āftāb kā
zāhir meñ yuuñ kareñ haiñ namāz-e-zavāl ham
zāhir hue tumheñ bhī hamāre dam aur hosh
aa.e na phir tumhāre ga.e Tuk bahāl ham
mutlaq jahāñ meñ rahne ko jī chāhtā nahīñ
ab tum baġhair itne hue haiñ vabāl ham
nuqsān hogā us meñ na zāhir kahāñ talak
hoveñge jis zamāne ke sāhib-kamāl ham
thā kab gumāñ milegā vo dāman-savār 'mīr'
kal raah jaate muft hue pā.emāl ham
baKHt-e-siyah ki naql karen kis se chaal hum
mehndi lagi qadam se hue paemal hum
kyunkar na is chaman mein hon itne niDhaal hum
yan phul sungh sungh rahe mah-o-sal hum
ya har gali mein sainkaDon jis ja malih the
ya zulf-o-KHat ko dekhte hain KHal-KHal hum
guzre hai ji mein gah wo dahan gah wo kamar
kya jaanen log rakhte hain kya kya KHayal hum
jatin nahin uThai ye ab sargiraniyan
maqdur tak to apne gae Tal Tal hum
lohu kahan hai girya-e-KHunin se tan ke bich
karte hain munh ko apne tamanchon se lal hum
wo tu hi hai ki marte hain sab tere taur par
hur-o-pari ko jaan ke kab hain dawal hum
guzre hai bas-ki us ki judai dilon pe shaq
munh noch noch le hain 'alal-ittisal hum
manzur sajda hai hamein us aaftab ka
zahir mein yun karen hain namaz-e-zawal hum
zahir hue tumhein bhi hamare dam aur hosh
aae na phir tumhaare gae Tuk bahaal hum
mutlaq jahan mein rahne ko ji chahta nahin
ab tum baghair itne hue hain wabaal hum
nuqsan hoga us mein na zahir kahan talak
howenge jis zamane ke sahib-kamal hum
tha kab guman milega wo daman-sawar 'mir'
kal rah jate muft hue paemal hum
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0860
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.