banda hai ya-KHuda nahin us dilruba ke sath
banda hai yā-ḳhudā nahīñ us dilrubā ke saath
dair-o-haram meñ ho kahīñ ho hai ḳhudā ke saath
miltā rahā kushāda-jabīñ ḳhūb-o-zisht se
kyā aa.ina kare hai basar yaañ hayā ke saath
go dast-e-lutf sar se uThā le koī shafīq
dil kā lagāo apnā hai dast-e-duā ke saath
tadbīr-e-dostāñ se hai bil-aks fā.eda
hai dard-e-āshiqī ko ḳhusūmat davā ke saath
kī kashtī us kī paak zabardast ishq ne
jin ne milā.e haath Tuk ek us balā ke saath
aubāsh laḌkoñ se to bahut kar chuke ma.āsh
ab umr kāTiyegā kisū mīrzā ke saath
kyā jānūñ maiñ chaman ko va-lekin qafas pe 'mīr'
aatā hai barg-e-gul kabhū koī sabā ke saath
banda hai ya-KHuda nahin us dilruba ke sath
dair-o-haram mein ho kahin ho hai KHuda ke sath
milta raha kushada-jabin KHub-o-zisht se
kya aaina kare hai basar yan haya ke sath
go dast-e-lutf sar se uTha le koi shafiq
dil ka lagao apna hai dast-e-dua ke sath
tadbir-e-dostan se hai bil-aks faeda
hai dard-e-ashiqi ko KHusumat dawa ke sath
ki kashti us ki pak zabardast ishq ne
jin ne milae hath Tuk ek us bala ke sath
aubash laDkon se to bahut kar chuke maash
ab umr kaTiyega kisu mirza ke sath
kya jaanun main chaman ko wa-lekin qafas pe 'mir'
aata hai barg-e-gul kabhu koi saba ke sath
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1723
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.