barson hue gae hue us mah ko baam se
barsoñ hue ga.e hue us mah ko baam se
kāhish mujhe jo hai vahī hotī hai shaam se
taḌpe asiir hote jo ham yak uThā ġhubār
sūjhā na ham ko der talak chashm-e-dām se
dumbāl-e-har-nigāh hai sad-kārvān-e-ashk
barse hai chashm-e-abr baḌī dhūm-dhām se
mahv us dahān-e-tang ke haiñ koī kuchh kaho
rahtā hai ham ko ishq meñ kaam apne kaam se
yūsuf ke pīchhe ḳhvār zuleḳhā abas huī
kab sāhabī rahī hai mil aise ġhulām se
laḌke hazāroñ jholī meñ patthar liye haiñ saath
majnūñ phirā hai kaahe ko is izhdihām se
vo naaz se chalā kahīñ to hashr ho chuke
phir bahs aa paḌegī usī ke ḳhirām se
jhuk jhuk salām karne se sarkash huā vo aur
ho baiThe nā-umīd javāb-e-salām se
ve din ga.e ki raat ko yakjā ma.āsh thī
aatā hai ab to nang use mere naam se
sargarm-e-jalva badr ho har-chand shab ko lek
kab jī lageñ haiñ apne kisū nā-tamām se
dil aur arsh donoñ pe goyā hai un kī sair
karte haiñ bāteñ 'mīr' jī kis kis maqām se
barson hue gae hue us mah ko baam se
kahish mujhe jo hai wahi hoti hai sham se
taDpe asir hote jo hum yak uTha ghubar
sujha na hum ko der talak chashm-e-dam se
dumbaal-e-har-nigah hai sad-karwan-e-ashk
barse hai chashm-e-abr baDi dhum-dham se
mahw us dahan-e-tang ke hain koi kuchh kaho
rahta hai hum ko ishq mein kaam apne kaam se
yusuf ke pichhe KHwar zuleKHa abas hui
kab sahabi rahi hai mil aise ghulam se
laDke hazaron jholi mein patthar liye hain sath
majnun phira hai kahe ko is izhdiham se
wo naz se chala kahin to hashr ho chuke
phir bahs aa paDegi usi ke KHiram se
jhuk jhuk salam karne se sarkash hua wo aur
ho baiThe na-umid jawab-e-salam se
we din gae ki raat ko yakja maash thi
aata hai ab to nang use mere nam se
sargarm-e-jalwa badr ho har-chand shab ko lek
kab ji lagen hain apne kisu na-tamam se
dil aur arsh donon pe goya hai un ki sair
karte hain baaten 'mir' ji kis kis maqam se
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.