barson mein kabhu idhar tum naz se aate ho
barsoñ meñ kabhū īdhar tum naaz se aate ho
phir barsoñ ta.iiñ pyāre jī se nahīñ jaate ho
aate ho kabhū yaañ to ham lutf nahīñ paate
sau āfateñ laate ho sau fitne uThāte ho
rahte ho tum āñkhoñ meñ phirte ho tumhīñ dil meñ
muddat se agarche yaañ aate ho na jaate ho
aisī hī zabāñ hai to kyā ohda-barā hoñge
ham ek nahīñ kahte tum laakh sunāte ho
ḳhush karne se Tuk aise nā-ḳhush hī rakhā kariye
hañste ho ghaḌī bhar to pahroñ hī rulāte ho
ik ḳhalq talāshī hai tum haath nahīñ lagte
laḌke to ho par sab ko Taale hī batāte ho
muddat se tumhārā kab īdhar ko tah-e-dil hai
kaahe ko tasanno' se ye bāteñ banāte ho
kuchh ‘izzat-e-kufr āḳhir ai dair ke bāshindo
mujh sahl se ko kyoñ tum zunnār bañdhāte ho
āvāra use phirte phir barsoñ guzarte haiñ
tum jis kisū ko apne Tuk paas biThāte ho
dil khol ke mil chaliye jo 'mīr' se milnā hai
āñkheñ bhī dikhāte ho phir muñh bhī chhupāte ho
barson mein kabhu idhar tum naz se aate ho
phir barson tain pyare ji se nahin jate ho
aate ho kabhu yan to hum lutf nahin pate
sau aafaten late ho sau fitne uThate ho
rahte ho tum aankhon mein phirte ho tumhin dil mein
muddat se agarche yan aate ho na jate ho
aisi hi zaban hai to kya ohda-bara honge
hum ek nahin kahte tum lakh sunate ho
KHush karne se Tuk aise na-KHush hi rakha kariye
hanste ho ghaDi bhar to pahron hi rulate ho
ek KHalq talashi hai tum hath nahin lagte
laDke to ho par sab ko Tale hi batate ho
muddat se tumhaara kab idhar ko tah-e-dil hai
kahe ko tasanno' se ye baaten banate ho
kuchh ‘izzat-e-kufr aaKHir ai dair ke bashindo
mujh sahl se ko kyon tum zunnar bandhate ho
aawara use phirte phir barson guzarte hain
tum jis kisu ko apne Tuk pas biThate ho
dil khol ke mil chaliye jo 'mir' se milna hai
aankhen bhi dikhate ho phir munh bhi chhupate ho
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0918
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.