bas ab ban chuke ru-o-mu-e-saman-bu
bas ab ban chuke rū-o-mu-e-saman-bū
girī ho ke behosh mashshāta yaksū
na samjhā gayā khel qudrat kā ham se
kiyā us ko bad-ḳhū banā kar nikorū
na dar-gīr kyūñkar ho aapas meñ sohbat
ki maiñ boriyā-posh vo ātishīñ-ḳhū
havā abr-o-sabze meñ chashmak hai gul kī
kareñ saaz ham barg-e-aish-e-lab-e-jū
bahār aa.ī gul-phūl sar joḌe nikle
raheñ baaġh meñ kaash is rang ham tū
rahe aabrū 'mīr' to hai ġhanīmat
ki ġhārat meñ dil kī hai īmā-e-abrū
bas ab ban chuke ru-o-mu-e-saman-bu
giri ho ke behosh mashshata yaksu
na samjha gaya khel qudrat ka hum se
kiya us ko bad-KHu bana kar nikoru
na dar-gir kyunkar ho aapas mein sohbat
ki main boriya-posh wo aatishin-KHu
hawa abr-o-sabze mein chashmak hai gul ki
karen saz hum barg-e-aish-e-lab-e-ju
bahaar aai gul-phul sar joDe nikle
rahen bagh mein kash is rang hum tu
rahe aabru 'mir' to hai ghanimat
ki ghaarat mein dil ki hai ima-e-abru
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1865
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.