Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-lutf-e-yar hum ko kuchh aasra nahin hai

Meer Taqi Meer

be-lutf-e-yar hum ko kuchh aasra nahin hai

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    be-lutf-e-yār ham ko kuchh aasrā nahīñ hai

    so koī din jo hai to phir sāl-hā nahīñ hai

    sun 'ishq jo atibbā karte haiñ chashm-poshī

    jāñ-kāh is maraz shāyad davā nahīñ hai

    jis aañkh se diyā thā un ne fareb dil ko

    us aañkh ko jo dekhā ab āshnā nahīñ hai

    jab dekho aa.ine ko tab rū-ba-rū hai us ke

    be-chashm-o-rū use kuchh sharm-o-hayā nahīñ hai

    maiñ barg-band agarche zer-e-shajar rahā huuñ

    faqr-e-mukib se lekin barg-o-navā nahīñ hai

    shīrīñ-namak-laboñ bin us ke nahīñ halāvat

    is talḳh zindagī meñ ab kuchh maza nahīñ hai

    aa'zā gudāz ho kar sab bah ga.e haiñ mere

    hijrāñ meñ us ke mujh meñ ab kuchh rahā nahīñ hai

    sun sānehāt-e-‘ishqī hañs kyoñ na do piyāre

    kyā jaano tum kisū se dil Tuk lagā nahīñ hai

    dil ḳhuuñ jigar ke TukḌe jab 'mīr' dekhtā huuñ

    ab tak zabāñ se apnī maiñ kuchh kahā nahīñ hai

    be-lutf-e-yar hum ko kuchh aasra nahin hai

    so koi din jo hai to phir sal-ha nahin hai

    sun 'ishq jo atibba karte hain chashm-poshi

    jaan-kah is maraz ki shayad dawa nahin hai

    jis aankh se diya tha un ne fareb dil ko

    us aankh ko jo dekha ab aashna nahin hai

    jab dekho aaine ko tab ru-ba-ru hai us ke

    be-chashm-o-ru use kuchh sharm-o-haya nahin hai

    main barg-band agarche zer-e-shajar raha hun

    faqr-e-mukib se lekin barg-o-nawa nahin hai

    shirin-namak-labon bin us ke nahin halawat

    is talKH zindagi mein ab kuchh maza nahin hai

    aa'za gudaz ho kar sab bah gae hain mere

    hijran mein us ke mujh mein ab kuchh raha nahin hai

    sun sanehat-e-‘ishqi hans kyon na do piyare

    kya jaano tum kisu se dil Tuk laga nahin hai

    dil KHun jigar ke TukDe jab 'mir' dekhta hun

    ab tak zaban se apni main kuchh kaha nahin hai

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1884
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now