bharosa asiri mein tha baal-o-par par
bharosā asīrī meñ thā bāl-o-par par
so par vā hue na qafas ke bhī dar par
savārān-e-shā.ista kushte haiñ tere
na teġh-e-sitam kar 'alam har nafar par
khulā pesh-e-dandāñ na us kā girihcha
kinhoñ ne bhī thūkā na silk-e-guhar par
jale kyoñ na chhātī ki apnī nazar hai
kisū shoḳh purkār rā'nā pisar par
na mahshar meñ chauñkā mirā ḳhūn-e-ḳhufta
vahī thā ye ḳhvābīda us shor-o-shar par
ka.ī zaḳhm khā kar taḌaptā rahā dil
tasallī thī mauqūf zaḳhm-e-digar par
sunā thā use paas lekin na paayā
chale duur tak ham ga.e is ḳhabar par
qaaf
sar-e-shab kahe thā bahāna-talab vo
ghaḌī ek raat aa.ī hogī pahar par
koī paas baiThā rahe kab talak yuuñ
kaho hogī ruḳhsat ga.e ab sahar par
jahāñ meñ na kī 'mīr' iqāmat kī niyyat
ki mush'ir thā aanā mirā yaañ safar par
bharosa asiri mein tha baal-o-par par
so par wa hue na qafas ke bhi dar par
sawaran-e-shaista kushte hain tere
na tegh-e-sitam kar 'alam har nafar par
khula pesh-e-dandan na us ka girihcha
kinhon ne bhi thuka na silk-e-guhar par
jale kyon na chhati ki apni nazar hai
kisu shoKH purkar ra'na pisar par
na mahshar mein chaunka mera KHun-e-KHufta
wahi tha ye KHwabida us shor-o-shar par
kai zaKHm kha kar taDapta raha dil
tasalli thi mauquf zaKHm-e-digar par
suna tha use pas lekin na paya
chale dur tak hum gae is KHabar par
qaf
sar-e-shab kahe tha bahana-talab wo
ghaDi ek raat aai hogi pahar par
koi pas baiTha rahe kab talak yun
kaho hogi ruKHsat gae ab sahar par
jahan mein na ki 'mir' iqamat ki niyyat
ki mush'ir tha aana mera yan safar par
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1609
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.