bosa us but ka le ke munh moDa
bosa us but kā le ke muñh moḌā
bhārī patthar thā chuum kar chhoḌā
ho ke dīvāne ham hue zanjīr
dekh kar us ke paañv kā toḌā
dil ne kyā kyā na dard raat diye
jaise paktā rahe koī phoḌā
garm-e-raftan hai kyā samand-e-umr
na lage jis ko baav kā ghoḌā
kyā kare baḳht-e-mudda.ī the buland
kohkan ne to sar bahut phoḌā
dil hī murġh-e-chaman kā TuuT gayā
phuul gulchīñ ne haa.e kyoñ toḌā
hai lab-e-bām āftāb-e-umr
kariye so kyā hai 'mīr' din thoḌā
bosa us but ka le ke munh moDa
bhaari patthar tha chum kar chhoDa
ho ke diwane hum hue zanjir
dekh kar us ke panw ka toDa
dil ne kya kya na dard raat diye
jaise pakta rahe koi phoDa
garm-e-raftan hai kya samand-e-umr
na lage jis ko baw ka ghoDa
kya kare baKHt-e-muddai the buland
kohkan ne to sar bahut phoDa
dil hi murgh-e-chaman ka TuT gaya
phul gulchin ne hae kyon toDa
hai lab-e-baam aaftab-e-umr
kariye so kya hai 'mir' din thoDa
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1091
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.