chalo chaman mein jo dil khule Tuk baham gham-e-dil kaha karenge

chalo chaman mein jo dil khule Tuk baham gham-e-dil kaha karenge
Meer Taqi Meer
MORE BYMeer Taqi Meer
chalo chaman meñ jo dil khule Tuk baham ġham-e-dil kahā kareñge
tuyūr hī se bakā kareñge guloñ ke aage bukā kareñge
qarār dil se kiyā hai ab ke ki ruk ke ghar meñ na mariyegā yuuñ
bahār aa.ī jo apne jiite to sair karne chalā kareñge
halāk honā muqarrarī hai maraz se dil ke pa tum kuḌho ho
mizāj sāhib agar udhar hai to ham bhī apnī davā kareñge
burā hai dil kā hamāre lagnā lagānā ġhusse se āshiqī ke
nuchī jabīñ se galī meñ us kī ḳharāb-o-ḳhasta phirā kareñge
visāl-e-ḳhūbāñ na kar tamanna ki zahr shīrīñ-labī hai un kī
ḳharāb-o-rusvā judā kareñge halāk mil kar judā kareñge
agar vo rashk-e-bahār samjhe ki rang apnā bhī hai ab aisā
varaq ḳhizāñ meñ jo zard hoñge ġham-e-dil un par likhā kareñge
ġham-e-mohabbat meñ 'mīr' ham ko hamesha jalnā hamesha marnā
sa.ūbat aisī dimāġh-e-rafta kahāñ talak ab vafā kareñge
chalo chaman mein jo dil khule Tuk baham gham-e-dil kaha karenge
tuyur hi se baka karenge gulon ke aage buka karenge
qarar dil se kiya hai ab ke ki ruk ke ghar mein na mariyega yun
bahaar aai jo apne jite to sair karne chala karenge
halak hona muqarrari hai maraz se dil ke pa tum kuDho ho
mizaj sahib agar udhar hai to hum bhi apni dawa karenge
bura hai dil ka hamare lagna lagana ghusse se aashiqi ke
nuchi jabin se gali mein us ki KHarab-o-KHasta phira karenge
visal-e-KHuban na kar tamanna ki zahr shirin-labi hai un ki
KHarab-o-ruswa juda karenge halak mil kar juda karenge
agar wo rashk-e-bahaar samjhe ki rang apna bhi hai ab aisa
waraq KHizan mein jo zard honge gham-e-dil un par likha karenge
gham-e-mohabbat mein 'mir' hum ko hamesha jalna hamesha marna
saubat aisi dimagh-e-rafta kahan talak ab wafa karenge
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1502
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.