chamakna barq ka karta hai kar-e-tegh hijran mein
chamaknā barq kā kartā hai kār-e-teġh hijrāñ meñ
barasnā miiñh kā dāḳhil hai us bin tīr-e-bārāñ meñ
bhare rahte haiñ saare phuul hī jis ke garebāñ meñ
vo kyā jaane ki TukḌe haiñ jigar ke mere dāmāñ meñ
kahīñ shām-o-sahar royā thā majnūñ ishq-e-lailā meñ
hanūz āshob donoñ vaqt rahtā hai bayābāñ meñ
ḳhayāl-e-yār meñ aage hai yak mah-pāra yaañ har dam
agar hijrāñ meñ zindānī huuñ par huuñ yūsufistāñ meñ
rakhā arsa junūñ par tang mushtāqoñ kī duurī se
kise maarā hai us ghatiye ne sanmukh ho ke maidāñ meñ
jahāñ se dekhiye ik sher-e-shor-añgez nikle hai
qayāmat kā sā hangāma hai har jā mere dīvāñ meñ
jo dekho to nahīñ ye haal apnā husn se ḳhālī
damak almās kī sī hai hamārī chashm-e-hairāñ meñ
ḳharābī aa ga.ī dīnoñ meñ millat ga.ī use dekhe
mile se us ke raḳhne paḌ ga.e logoñ ke īmāñ meñ
nikal aatā hai ghar se har ghaḌī nange badan bāhar
burā ye aa paḌā hai aib us āsā.ish-e-jāñ meñ
sitam ke tiir us ke mere siine meñ bahut TuuTe
kiyā jaatā hai mushkil farq ab dil aur paikāñ meñ
havā-e-abr meñ kyā 'mīr' hañstā baaġh meñ vo thā
girī paḌtī hai bijlī aaj kuchh sehn-e-gulistāñ meñ
chamakna barq ka karta hai kar-e-tegh hijran mein
barasna minh ka daKHil hai us bin tir-e-baran mein
bhare rahte hain sare phul hi jis ke gareban mein
wo kya jaane ki TukDe hain jigar ke mere daman mein
kahin sham-o-sahar roya tha majnun ishq-e-laila mein
hanuz aashob donon waqt rahta hai bayaban mein
KHayal-e-yar mein aage hai yak mah-para yan har dam
agar hijran mein zindani hun par hun yusufistan mein
rakha arsa junun par tang mushtaqon ki duri se
kise mara hai us ghatiye ne sanmukh ho ke maidan mein
jahan se dekhiye ek sher-e-shor-angez nikle hai
qayamat ka sa hangama hai har ja mere diwan mein
jo dekho to nahin ye haal apna husn se KHali
damak almas ki si hai hamari chashm-e-hairan mein
KHarabi aa gai dinon mein millat gai use dekhe
mile se us ke raKHne paD gae logon ke iman mein
nikal aata hai ghar se har ghaDi nange badan bahar
bura ye aa paDa hai aib us aasaish-e-jaan mein
sitam ke tir us ke mere sine mein bahut TuTe
kiya jata hai mushkil farq ab dil aur paikan mein
hawa-e-abr mein kya 'mir' hansta bagh mein wo tha
giri paDti hai bijli aaj kuchh sehn-e-gulistan mein
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1193
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.