charKH par apna madar dekhiye kab tak rahe
charḳh par apnā madār dekhiye kab tak rahe
aisī tarah rozgār dekhiye kab tak rahe
sehre kahāñ tak paḌeñ āñsuoñ ke chehre par
girya gale hī kā haar dekhiye kab tak rahe
zo'f se āñkheñ muñdīñ khul na ga.iiñ phir shitāb
ġhash ye hameñ ab kī baar dekhiye kab tak rahe
lab pe mire aan kar bārhā phir phir ga.ī
jaan ko ye iztirār dekhiye kab tak rahe
us se to ahd-o-qarār kuchh bhī nahīñ darmiyāñ
dil hai mirā be-qarār dekhiye kab tak rahe
is sire se us sire daaġh hī haiñ sadr meñ
in bhī guloñ kī bahār dekhiye kab tak rahe
āñkheñ to pathrā ga.iiñ takte hue us kī raah
shām-o-sahar intizār dekhiye kab tak rahe
aañkh milātā nahīñ in dinoñ vo shoḳh Tuk
be-maza hai ham se yaar dekhiye kab tak rahe
rū-e-suḳhan sab kā hai merī ġhazal kī taraf
she’r hī merā shi'ār dekhiye kab tak rahe
gesū-o-ruḳhsār-e-yār āñkhoñ hī meñ phirte haiñ
'mīr' ye lail-o-nahār dekhiye kab tak rahe
charKH par apna madar dekhiye kab tak rahe
aisi tarah rozgar dekhiye kab tak rahe
sehre kahan tak paDen aansuon ke chehre par
girya gale hi ka haar dekhiye kab tak rahe
zo'f se aankhen mundin khul na gain phir shitab
ghash ye hamein ab ki bar dekhiye kab tak rahe
lab pe mere aan kar barha phir phir gai
jaan ko ye iztirar dekhiye kab tak rahe
us se to ahd-o-qarar kuchh bhi nahin darmiyan
dil hai mera be-qarar dekhiye kab tak rahe
is sire se us sire dagh hi hain sadr mein
in bhi gulon ki bahaar dekhiye kab tak rahe
aankhen to pathra gain takte hue us ki rah
sham-o-sahar intizar dekhiye kab tak rahe
aankh milata nahin in dinon wo shoKH Tuk
be-maza hai hum se yar dekhiye kab tak rahe
ru-e-suKHan sab ka hai meri ghazal ki taraf
she’r hi mera shi'ar dekhiye kab tak rahe
gesu-o-ruKHsar-e-yar aankhon hi mein phirte hain
'mir' ye lail-o-nahaar dekhiye kab tak rahe
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1910
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.