dil jalte kuchh ban nahin aati haal bigaDte jate hain
dil jalte kuchh ban nahīñ aatī haal bigaḌte jaate haiñ
jaise charāġh-e-āḳhirī shab ham log nabaḌte jaate haiñ
rang-e-sabāt chaman kā uḌāyā bād-e-tund-e-ḳhizāñ ne sab
barg-o-bār o nauras gul ke ġhunche jhaḌte jaate haiñ
tīnat meñ hai niyāz jinhoñ kī masjūd un kī sab hai zamīñ
ḳhaak jo ye pāmāl hai is se sar ko ragaḌte jaate haiñ
raah ajab pesh aa.ī ham ko yaañ se tanhā jaane kī
yār-o-hamdam hamrāhī har-gām bichhaḌte jaate haiñ
zo'f-e-dimāġh se uftāñ ḳhezāñ chalte haiñ ham rāh-e-havas
dekheñ kyā pesh aave ab to girte paḌte jaate haiñ
qad ko apne hashr-ḳhirām ke ek nahīñ lag saktā hai
sarv-e-ravān-e-bāġh-e-jahāñ har chand akaḌte jaate haiñ
'mīr' balā nā-sāz tabī.at laḌke haiñ ḳhush-zāhir bhī
saath hamāre raah meñ haiñ phir ham se laḌte jaate haiñ
dil jalte kuchh ban nahin aati haal bigaDte jate hain
jaise charagh-e-aKHiri shab hum log nabaDte jate hain
rang-e-sabaat chaman ka uDaya baad-e-tund-e-KHizan ne sab
barg-o-bar o nauras gul ke ghunche jhaDte jate hain
tinat mein hai niyaz jinhon ki masjud un ki sab hai zamin
KHak jo ye pamal hai is se sar ko ragaDte jate hain
rah ajab pesh aai hum ko yan se tanha jaane ki
yar-o-hamdam hamrahi har-gam bichhaDte jate hain
zo'f-e-dimagh se uftan KHezan chalte hain hum rah-e-hawas
dekhen kya pesh aawe ab to girte paDte jate hain
qad ko apne hashr-KHiram ke ek nahin lag sakta hai
sarw-e-rawan-e-bagh-e-jahan har chand akaDte jate hain
'mir' bala na-saz tabiat laDke hain KHush-zahir bhi
sath hamare rah mein hain phir hum se laDte jate hain
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1693
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.